Add Poetry

Tujh Ko Apna Ke Bhi Apna Nahi Hone Dena

Poet: Amir Ameer By: Umair Khan, Islamabad

Tujh ko apnna ke bhi apnna nahi hone dena
Zaḳhm-e-dil ko kabhi acchha nahi hone dena

Main to dushman ko bhi mushkil men kumak bhejunga
Itni jaldi use paspa nahi hone dena

Tu ne Mera nahin hona hai to phir yaad rahe
Main ne tujh ko bhi kisi ka Nahi hone dena

Tu ne kitnon ko nachaya hai isharon pe Magar
Maine ai ishq! ye Mujra Nahi hone dena

Us ne khaai hai qasam phir se mujhe bhoolne ki
Main ne is baar bhi aisa nahi hone dena

Zindagi men to tujhe chhor hi deta lekin
Phir ye socha tujhe beva nahi hone dena

Mazhab-e-ishq koi chhor mare to main ne
Aise Murtad ka janaza nahi hone dena

Rate it:
Views: 1866
03 Apr, 2021
Related Tags on Amir Ameer Poetry
Load More Tags
More Amir Ameer Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets