Add Poetry

Tujh Se Gilay Karoon Tujhe Janaa’n Manaaon

Poet: jaun elia By: sajjad shah, Karachi

Tujh Se Gilay Karoon Tujhe Janaa’n Manaaon Main
Ik Bar Apne Aap Mein Aaon To Aaon Main

Dil Se Sitam Ki Be’saro Kaari Hawaa Ko Hai
Woh Gard Urraa Rahi Hai Ke Khud Ko Ganwaaon Main

Naadim Hoon Woh Ke Jis Pe Nadaamat Bhi Ab Nahin
Woh Kaam Hain Ke Apni Judai Kamaaon Main

Kyon’kar Ho Apne Khawab Ki Aankhon Mein Wapsi
Kis Taur Apne Dil Ke Zamamon Mein Jaaon Main

Ik Rang Si Kamaa’n Ho Khushbu Sa Ik Teer
Marham Si Ik Wardaat Ho Aur Zakham Khaon Main

Shikwa Sa Aik Dareecha Ho Nasha Sa Ik Sakoot
Ho Shaam Aik Sharab Si Aur Larr’khraon Main

Phir Is Gali Se Apna Guzar Chahta Hai Dil
Ab Is Gali Ko Kaunsi Basti Se Laaon Main

Rate it:
Views: 1371
11 Nov, 2016
Related Tags on Jaun Elia Poetry
Load More Tags
More Jaun Elia Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets