Add Poetry

Tujhi Ko Jo Yan Jalwa Farma Na Dekha

Poet: Khwaja Mir Dard By: Danish Afzal, Islamabad

Tujhi Ko Jo Yan Jalwa Farma Na Dekha
Barabar Hai Duniya Ko Dekha Na Dekha

Mera Guncha-E-Dil Hai Woh Dil-Girifta
K Jis Ko Kaso Ne Kabhi Wa Na Dekha

Aziat, Musibat, Malamat, Balayen
Tere Ishq Main Ham Ne Kya Kya Na Dekha

Kiya Mujh Ko Dagon Sarw-E-Chiragan
Kabho Tu Ne Akar Tamasha Na Dekha

Tagaful Ne Tere Ye Kuch Din Dikhaye
Idhar Tu Ne Lekin Na Dekha, Na Dekha

Hijab-E-Rukh-E-Yar The Ap Hi Ham
Khuli Ankh Jab, Koi Parda Na Dekha

Shab-O-Roz Aye “Dard” Darapai Hun Us Ke
Kaso Ne Jise Yan Samjha Na Dekha
 

Rate it:
Views: 2792
16 Aug, 2012
Related Tags on Khwaja Mir Dard Poetry
Load More Tags
More Khwaja Mir Dard Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets