Add Poetry

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Lyrics

Poet: Nusrat Fateh Ali Khan By: Tanveer, karachi

Kabhi Yahaan Tumhein Dhonda, Kabhi Wahaan Pohncha

Tumhari Deed Ki Khaatir Kahan Kahan Pohcha
Ghareeb Mit Ga'ay, Pamaal Ho Gaye Laikin

Kisi Talak Na Tera Aaj Tak Nishaan Pohncha

Ho Bhi Nahi Aur Her Jaa Ho
Ho Bhi Nahi Aur Her Ja Ho
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Her Zarray Mein Kiss Shaan Say Tu Jalwa Numa Hai
Hairaan Hai Magar Aqal K Kaisay Hai To Kia Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Tujhay Dair-O-Haram Mein Nai Dhonda Tu Nahi Milta
Magar Tashreef Farma Tujhay Apne Dil Mein Daikha Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Dhonday Nahi Milay Ho Na Dhonday Say Kaheen Tum
Aur Phir Yeah Tamasha Hai, Jahan Hum Hein Waheen Tum
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Jab Bajuz Tairay Koi Dosra Maujood Nahi
Phir Samajh Mein Nahi Aata Tera Purdah Karna
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Harm O Dair Mein Hai Jalwa E Purfan Tera
Do Gharoon Ka Hai Charaagh E Kurkhe Roshan Tera
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Jo Ulfat Mein Tumhari Kho Gaya Hai, Usi Kho'ay Hoay Ko Kuch Mila Hai
Na But-Khanay, Na Kabay Mein Mila Hai, Magar Totay Hoay Dil Mein Mila Hai
Adam Bun Ker Kaheen To Chup Gaya Hai, Kaheen To Hast Bun Ker Aa Gaya Hai

Nahi Hai Tu To Phir Inkaar Kaisa, Nafi Bhi Tairay Honay Ka Pata Hai
Mein Jiss Ko Keh Raha Hoon Apni Hasti, Agar Wo Tu Nahi To Aur Kia Hai
Nahi Aaya Khayaloon Mein Agar Tu, To Phir Mein Kaisay Samjha Tu Khuda Hai

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Hairan Hoon Is Baat Pay, Tum Kon Ho Kia Ho
Haath Aao To But, Haath Na Aao To Khuda Ho
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Aqal Mein Jo Ghir Gaya La-Intiha Kiyoon Ker Hoa
Jo Samajh Mein Aa Gaya Phir Wo Khuda Kiyoon Ker Hoa
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Falsafi Ko Behas K Ander Khuda Milta Nahi
Dour Ko Suljha Raha Hai Aur Sira Milta Nahi
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Pata Yoon To Bata Daitay Ho Sub Ko La-Makaan Apna
Ta'ajub Hai Magar Rehtay Ho Tum Tootay Hoay Dil Mein
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Jab K Tujh Bin Nahi Koi Maujood
Phir Yeah Hangama Ay Khuda Kia Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Chuptay Nahi Ho, Samnay Aatay Nahi Ho Tum, Jalwa Dikha K Jalwa Dikhatay Nahi Ho Tum
Dair O Haram K Jhagray Mita'tay Nahi Ho Tum, Jo Asal Baat Hai Wo Batatay Nahi To Tum
Hairaan Hoon Mairay Dil Mein Sama'ay Ho Kiss Tarah, Haan'la K Do Jahan Mein Samatay Nahi To Tum

Yeah Ma Bud O Haram, Yeah Qaleesa-o-Dair Kiyoon, Harjayii Ho Jabhi To Bata'tay Nahi To Tum
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Dil Peh Hairat Nai Ajab Rung Jama Rakha Hai, Aik Uljhi Howi Tasveer Bana Rakha Hai
Kuch Samajh Mein Nahi Aata K Yeah Chakkar Kia Hai, Khail Kia Tum Nai Azal Say Yeah Racha Rakha Hai
Rooh Ko Jism K Pingray Ka Bana Ker Qaidee, Us Pay Phir Mout Ka Pehraa Bhi Bithaa Rakha Hai

Day K Tadbeer K Panchi Ko Uranay Tu Nai, Daam-E-Tadbeer Mein Her Sumt Bicha Rakha Hai
Kar K Araish E Qounain Ki Barsoon Tu Nai, Khatam Karne Ka Bhi Mansooba Bana Rakha Hai

La-Makaani Ka Bahr Haal Hai Dawa Bhi Tumhein, Nahl-O-Akrab Ka Bhi Paighaam Suna Rakha Hai
Yeah Burai, Wo Bhalai, Yeah Jahannum, Wo Bahisht, Is Ulat Phiar Mein Farmao To Kia Rakha Hai
Jurm Aadam Nai Kiya Aur Saza Baitoon Ko, Adl O Insaaf Ka Mi'aar Bhi Kia Rakha Hai
Dai K Insaan Ko Dunya Mein Khilafat Apni, Ik Tamasha Sa Zamanay Mein Bana Rakha Hai
Apni Pehchaan Ki Khaatir Hai Banaya Sub Ko, Sub Ki Nazaroon Say Magar Khud Ko Chup Rakha Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Nit Naye Naqsh Banatay Ho Mita Daitay Ho, Janay Kiss Jurm-E-Tamanna Ki Saza Daitay Ho
Kabhi Kunker Ko Bana Daitay Ho Heeray Ki Kani, Kabhi Heeron Ko Bhi Mitti Mein Mila Daitay Ho
Zindagi Kitnay He Murdoon Ko Ata Ki Jiss Nai, Wo Maseeha Bhi Saleebon Pay Saja Daitay Ho
Khuwahish-E-Deed Jo Kar Baithay Sir-E-Tuur Koi, Tuur Hee Bark e Tajaali Say Jala Daitay Ho
Nalay Namrood Mein Dalwatay Ho Qudrat Na Khaleeq, Khud Hee Phir Naar Ko Gulzaar Bana Daitay Ho

Chahay Kin Aan Mein Phainko Kabhi Maah Kinaan, Noor Yaqoob Ki Aankhon Ka Bujha Daitay Ho
Day Ke Yusuf Ko Kabhi Mirs K Bazaaron Mein, Aakhir Kaar Shah-E-Misr Bana Daitay Ho
Jazb O Masti Ki Jo Manzil Pe Pohonchta Hai Koi, Baith Ker Dil Mein Anal Haq Ki Sada Daitay Ho
Khud He Lagwatay Ho Phir Kufr K Fatway Us Per, Khud He Mansoor Ko Sooli Peh Charha Daitay Ho
Apni Hasti Bhi Wo Ik Rooz Gawa Baith'ta Hai, Apne Darshan Ki Lagan Jiss Ko Laga Daitay Ho

Koi Ranjha Jo Kabhi Khooj Mein Nikle Teri, Tum Usay Jhang K Bele Mein Rula Daitay Ho
Justujo Lay K Tumhari Joh Chalay Qais Koi, Us Ko Majno Kisi Laila Ka Bana Daitay Ho
Jot? Sassi K Agar Mun Mein Tumhari Jagay, Tum Usay Taptay Hoay Thal Mein Jala Daitay Ho
Sohni Gar Tum Ko Mahiwaal Tassawur Ker Le, Us Ko Bikhri Howi Lehroon Mein Baha Daitay Ho
Khudh Joh Chaho To Sar-E-Arsh Bula Ker Mehboob, Aik He Raat Mein Mairaaj Kara Daitay Ho
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Aap Hi Apna Pardah Ho
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Jo Kehta Hoon Mana Tumhein Lagta Hai Bura Sa, Phir Bhi Hai Mujhay Tum Say Baharhaal Gila Sa
Chup Chaap Rahay Daikhtay Tum Arsh-E-Bareen Per, Taptay Hoay Karbal Mein Mohammad Ka Nawasa
Kiss Tarah Pilata Tha Laahu Apna Wafa Ko, Khud Teen Dino Say Wo Agarchay Tha Piyasa
Dushmun To Bahar Haal Thay Dumshun Magar Afsoos, Tum Nai Bhi Faraham Na Kia Pani Zara Sa

Her Zulm Ki Taufeeq Hai Zaalim Ki Wirasat, Mazloom K Hissay Mein Tasalli Na Dilasa
Kal Taaj Saja Daikha Tha Jis Shaqs K Sir Per, Hai Aaj Usi Shaqs K Haathon Mein Hikasa
Yeh Kia Hai Agar Pochon To Kehtay Ho Jawaban, Is Raaz Say Ho Sakta Nahi Koi Shanasa
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Hairat Ki Ik Dunya Ho
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Har Aik Jaan Pey Ho, Laikin Pata Nahi Maloom
Tumahra Naam Suna Nai, Nishaan Nahi Maloom
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Dil Say Armaan Jo Nikal Ja'ay To Jugnu Ho Ja'ay, Aur Aankhon Mein Simat Aa'ay To Aanso Ho Ja'ay
Ja Pe Ya Huu Ka Jo Be Hu Karay Hu Mein Kho Ker, Us Ko Sultaniyaan Mil Jaein Woh Baahu Ho Ja'ay
Baalgi Ka Na Kisi Ka Ho Churi Ke Neechay, Halk-E-Asghar Mein Kabhi Teer Tarazu Ho Ja'ay
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Kiss Qadar Beniyaaz Ho Tum Bhi
Daastan E Niyaaz Ho Tum Bhi
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Raah-E-Tehqeeq Mein Her Gaam Pay Uljhan Daikhoon, Wohi Halaat O Khayalaat Mein Anaban Daikhoon
Bana Ke Rah Jaata Hoon Tasaveer Pareshaani Ki, Ghaur Say Jab Bhi Kabhi Dunya Ke Darpan Daikhoon
Aik He Khaaq Pay Fitrat Ke Tajaadaat Itne, Itne Hisson Mein Banta Aik He Angan Daikhoon

Kahin Zahmat Ki Sulagti Howi Patjhar Ka Sama, Kahin Rahmat Ke Barastay Hoay Sawan Daikhon
Kahin Punkartay Darya, Kabhin Khamosh Pahar, Kabhi Jungle, Kahin Sahra, Kahin Gulshan Daikhoon
Khoon Rulata Hai Yeh Taqseem Ka Andaaz Mujhay, Koi Dhanwaan Yahaan Per Koi Nirdhan Daikhoon

Din Ke Haathon Mein Faqat Ek Sulagta Suraj, Raat Ki Maang Sitaroon Say Muzayyan Daikhon
Kahin Murjha'ay Howe Phool Hein Sach'chaii Ke, Aur Kahin Jhoot Ke Kaanton Pay Bhi Joban Daikhon
Shams Ki Khaal Kaheen Khinchti Nazar Aati Hai, Kaheen Sarmad Ki Utarti Howi Gardan Daikhoon

Raat Kia Shay Hai Sawayra Kia Hai, Yeah Ujala Yeah Andhera Kia Hai
Mein Bhi Naayib Hoon Tumhara Aakhir, Kiyoon Yeh Kehtay Ho K Tera Kya Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Daikhnay Wala Tujhay Kia Dekhta
Tu Nai Her Rung Say Pardah Kia
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Masjid Mandir Yeh Mekhanay, Koi Yeh Manay Koi Woh Manay
Sub Tere Hein Jaana Kasahanay, Koi Yeh Manay Koi Woh Manay
Ik Honay Ka Tere Qaail Hai, Inkaar Pay Koi Maail Hai
Ik Khalq Mein Shaamil Karta Hai, Ik Sub Say Akela Rehta Hai
Hein Dono Tere Mastanay, Koi Yeh Manay Koi Woh Manay
Sub Hein Jab Aashiq Tumhare Naam Ke, Kiyoon Yeh Jhagray Hein Rahim-O-Raam Ke
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Dair Mein Tu Haram Mein Tu, Arsh Pe Tu Zameen Pe Tu
Jiss Ki Pohonch Jahan Talak Us K Liyeah Waheen Pe Tu
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Her Ik Rung Mein Yakta Ho (x2)
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Markaz E Justuju, Aalam E Rung O Boo, Dum Ba Dum Jalwagar Tu He Tu Chaar Su
Hu K Mahool Mein Kuch Nahi Illah Hu, Tum Bohot Dilruba Tum Bohot Khoobaru
Arsh Ki Azmatein Farsh Ki Aabro, Tum Ho Qonein Ka Haasil-E-Aarzo
Aankh Nay Ker Lia Aanso'on Say Wazu, Ub To Ker Do Ata Deed Ka Ik Sabu
Aao Parday Say Tum Aankh K Ru Baru, Chund Lamhay Milan Do Ghari Guftagu
Naaz Jabta Phiray Ja Baja Qo Ba Qu, Wahdahu Wahdahu La Shareeka Laho


Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu
Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu

Rate it:
Views: 2984
20 Sep, 2021
Related Tags on Urdu Ghazals Poetry
Load More Tags
More Urdu Ghazals Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets