Add Poetry

Tumhare Shahr Ka Mausam Bara Suhana Lage

Poet: Qaisar ul Jafri By: Shakir, jaccobabad

Tumhare Shahr Ka Mausam Bara Suhana Lage

main ek sham chura lun agar bura na lage

tumhaare bas mein agar ho to bhul jao mujhe

tumhein bhulane mein shayad mujhe zamana lage

jo Dubna hai to itne sukun se Dubo

ki aas-pas ki lahron ko bhi pata na lage

wo phul jo mere daman se ho gae mansub

Khuda kare unhen bazar ki hawa na lage

na jane kya hai kisi ki udas ankhon mein

wo munh chhupa ke bhi jae to bewafa na lage

tu is tarah se mere sath bewafai kar

ki tere baad mujhe koi bewafa na lage

tum aankh mund ke pi jao zindagi 'qaisar'

ki ek ghunt mein mumkin hai bad-maza na lage

Rate it:
Views: 497
15 Jan, 2021
More Qaisar ul Jafri Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets