Ulfat Ko Bujha Dete Hain Alfaaz Ke Nashtar
Nafrat Ko Hwa Dete Hain Alfaaz Ke Nashtar
Jannat Ki Terhan Hota Hai Ghar Waisay To Lekin
Dozakh Sa Bana Dete Hain Alfaaz Ke Nashtar
Jazbaat Ke Naatey Hon Ya Phir Khoon Ke Rishte
Qurbat Ko Mita Dete Hain Alfaaz Ke Nashtar
Insaan To Insaan Hain Murjhayeen Nah Kaisay
Pairron Ko Sikha Dete Hain Alfaaz Ke Nashtar
Woh Zakham Nahi Lagtay Kabhi Tegh O Sinaan Se
Jo Zakham Laga Dete Hain Alfaaz Ke Nashtar
Hathyaaron Se Woh Hashar Bapaa Hota Nahi Hai
Jo Hashar Macha Dete Hain Alfaaz Ke Nashtar
Tahazeeb O Saqafat Mein Tafawut Nah Ho Chahay
Seemayin Bana Dete Hain Alfaaz Ke Nashtar
Ho Jati Hain Phir Raakh Kayi Naslen Dehak Kar
Jab Aag Laga Dete Hain Alfaaz Ke Nashtar
Baste Hue Shehron Ko Mein Ne Dekha Hai Deepuk
Shamshaan Bana Dete Hain Alfaaz Ke Nashtar