Add Poetry

Un Jheel Se Gehri Ankhon Me

Poet: Amjad Islam Amjad By: Atiq Ahmed Masroof, Karachi

Un Jheel Se Gehri Ankhon Me
Ik Shaam Kbhi Abaad To Ho
Us Jheel Kinare Pal 2 Pal
Ik Khawab Ka Nilaa Phool Khele
Kisi Rooz Kbhi Hum
Shaam Dhale
Wo Phool Baha Dain Lehron Mei
Phir Us Phool K
Behte Rangon Mei
Jis Waqt Larazta CHAAND Chale
Un Ankhon Mei
Us Pal Ki Koi Yaad To Ho
Un Jheel Se Gehri Ankhon Mei
Ik Shaam
Kbhi Abaad To Ho
Phir Chahe Umar-E-Samandar Ki
Har Mooj
Pareshan Ho Jaae
Phir Chahe Ankh K Dareechon Se
Har Khawab
Garezan Ho Jaae
Phir Chahe Phool Se Chehre Ka
Har Dard
Namaayan Ho Jaae
Us Jheel Kinare Wo Roop Nagar
Kbhi Ejaad To Ho
Din Raat K Aaine Se Wo Aks
Kbhi Azaad To Ho
Un Jheel Se Gehri Ankhon Mei
Ik Shaam
Kbhi Abaad To Ho
 

Rate it:
Views: 4982
08 Oct, 2012
Related Tags on Amjad Islam Amjad Poetry
Load More Tags
More Amjad Islam Amjad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets