Un Ne Kiya Tha Yaad Mujhe Bhul Kar Kahin
paata nahin huun tab se main apni khabar kahin
aa jaae aise jiine se apna to ji ba-tang
jiita rahega kab talak ai khizr mar kahin
phirti rahi tadapti hi aalam men ja-ba-ja
dekha na meri aah ne ru-e-asar kahin
muddat talak jahan men hanste phira kiye
ji men hai khuub roiye ab baith kar kahin
yuun to nazar pade hain dil-afgar aur bhi
dil riish koi aap sa dekha na par kahin
zalim jafa jo chahe so kar mujh pe tu vale
pachhtave phir to aap hi aisa na kar kahin
phirte to ho banae saj apni jidhar tidhar
lag jaave dekhiyo na kasu ki nazar kahin
puchha main dard se ki bata tu sahi mujhe
ai khanuman-kharab hai tere bhi ghar kahin
kahne laga makan-e-muayyan faqir ko
lazim hai kya ki ek hi jagah ho har kahin
darvesh har kuja ki shab aamad sara-e-ust
tu ne suna nahin hai ye misraa magar kahin