Add Poetry

Us Ka Chehra Bhi Sunata Hai

Poet: Rehana Qamar By: Waqar Ali, Karachi

Us Ka Chehra Bhi Sunata Hai Kahani Us Ki
Chahti Hoon Ke Sunoon Us Se Zubaani Us Ki

Woh Sitam’gar Hai To Ab Us Se Shikayat Kesi
Aur Sitam Karna Bhi Aadat Purani Us Ki

Besh-Qeemat Hai Yeh Moti Se Meri Palkon Per
Chand Aansu Hain Mere Pass Nishani Us Ki

Us Jafaa-Kaar Ko Maloom Nahin Woh Kya Hai
Be-Murawat Ko Hai Tasveer Dikhani Us Ki

Aik Woh Hai Nazar Andaaz Kare Hai Mujh Ko
Aik Mein Hoon Ke Dil-O-Jaan Se Deewani Us Ki

Tum Ko Ulfat Hai Qamar Us Se To Ab Keh Dena
Samne Sab Ke Sunaa Dena Kahani Us Ki..
 

Rate it:
Views: 1085
16 May, 2014
More Rehana Qamar Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets