✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Uzair Mushtaq
Search
Add Poetry
Poetries by Uzair Mushtaq
Sunaa Hai Log Use Aankh Bhar Ke
Sunaa Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
So Us Ke Shahr Mein Kuchh Din Thehr Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Rabt Hai Usko Kharaab Haalon Se
So Apne Aap Ko Barbaad Karke Dekhte Hain
Sunaa Hai Dard Kii Gaahak Hai Chashm-E-Naazuk Uskii
So Ham Bhii Uskii Galii Se Guzar Kar Dekhte Hain
Sunaa Hai Usko Bhii Hai Sheir-O-Shaaiirii Se Sharf
Soham Bhii Maujzay Apne Hunar Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Bole To Baaton Se Phuul Jharte Hain
Ye Baat Hai To Chal Baat Kar Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Raat Use Chaand Taktaa Rehtaa Hai
Sitaare Baam-E-Falak Se Utar Kar Dekhte Hain
Sunaa Hai Hashr Hain Uskii Ghazaal Sii Aankhein
Sunaa Hai Usko Hiran Dasht Bhar Ke Dekhte Hai.N
Sunaa Hai Din Ko Use Titliyaan Sataatii Hain
Sunaa Hai Raat Ko Jugnuu Thehr Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Uskii Siyaah Chashmagii Qayaamat Hai
So Usko Surmaafarosh Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Uske Labon Se Gulaab Jalate Hai.N
So Ham Pahaarh Pe Ilzaam Dhar Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Aaiinaa Tamasal Hai Jabiin Uski
Jo Saadaa Dil Hain Ban-Savar Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Uske Badan Ke Taraash Aise Hain
Ke Phuul Apnii Qabaaein Katar Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Uskii Shabistaan Se Muttasil Hai Bahisht
Makeen Udhar Ke Bhii Jalve Idhar Ke Dekhte Hai.N
Ruke To Gardish Uskaa Tavaaf Kartii Hai
Chale To Usko Zamaane Thehr Ke Dekhte Hain
Mubaalage Hii Sahii, Sab Kahaaniyaa.N Hiin Sahii
Agar Vo Khvaab Hai To Taabiir Kar Ke Dekhte Hain
Ab Usake Shehr Mein Thehrein Ke Kuch Kar Jaaein
"Faraz" Aao Sitaare Safar Ke Dekhte Hai.N
uzair mushtaq
Copy
Woh Suey Laalah Zaar Pirthey Hain
Woh Suey Laalah Zaar Pirthey Hain
Theyray Din Ay Bahaar Pirthey Hain
Jo Theyray Darr Say Yaar Pirthey Hain
Dar Baddar Yoonhi Khwaar Pirthay Hain
Ah Kal Aish Tho Keeyay Ham Nay
Aaj Woh Bayqaraar Pirthay Hain
Har Charaag-E-Mazaar Par Qudsee
Kaysay Parwana Waar Pirthay Hain
Us Gallee Ka Gadaa Hoo May Jis May
Maangtay Taajdaar Pirthay Hain
Jaan Hay Jaan Kyaa Nazar Ayay
Kyoun Ad’u Gird-E-Ghaar Phirthay Hain
Phool Kya Daikhoon Mayree Aankhoon Main
Dasht-E-Taiba Kay Khaar Pithay Hain
Laakhoon Qudsee Hain Kaar-E-Khidmat Par
Laakhoon Gird-E-Mazaar Pirthay Hain
Hai'ay Ghaafil Woh Kya Jagah Hay Jahaa
Paanch Jaatay Hay Chaar Pirthay Hain
Koi Kyoon Poochay Theree Baat RAZA
Tujh Say Shaida Hazaar Pirthay Hain
Uzair Mushtaq
Copy
ماہ رمضان الوداع الوداع
ہوا جاتا ہے رخصت ماہ رمضاں یارسول الله
رہا اب چند گھڑیوں کا یہ مہماں یارسول الله
میں ہائے جی چراتا ہی رہا رب کی عبادت سے
گزارہ غفلتوں میں سارہ رمضاں یارسول الله
جدائی کی گھڑی جاں سوز ہے عشاق رمضاں پر
چلا ان کو رلا کر مہ رمضاں یارسول لله
گناہوں کی سیاہی چھا رہی ہے رخ پہ محشر میں
میرا چہرہ پے رمضاں ہو تاباں یا رسول الله
خدا کے نیک بندے نیکیوں میں لگ گئے لیکن
گناہ کرتا رہا عطار ناداں یارسول لله
Uzair Mushtaq
Copy
میں تو نادان تھا دانستہ بھی کیا کیا نہ کیا
میں تو نادان تھا دانستہ بھی کیا کیا نہ کیا
لاج رکھ لی میرے لجپال نے رسوا نہ کیا
روشنی جتنی تیری یاد نے پھیلائی ہے
ما ہ خورشید نے اتنا بھی اجالا نہ کیا
جھولی کھالی لئے لوٹے کوئی ان کے در
یہ کبھی ان کی سخاوت نے گوارہ نہ کیا
جس طرف دیکھئے سرکار نظر آتے ہیں
ایسا لگتا ہے کہ سرکار نے پردہ نہ کیا
یہ بھی الله کا اک خاص کرم ہے کہ وقار
جس کا خود شیدا ہے اس کا ہمیں دیوانہ کیا
Uzair Mushtaq
Copy
Wo Yaad Jab Aata Ha
Wo Yaad Jab Aata Ha, Tanhaii Main Akshar
Khushiyoon Main Kizaa'n Laata Ha Tanhaii Main Akshar
Bus Yaad Main, Bus Yaad Yahi Yaad Rahta Hai
Hum Mil Kay Bichar Jatay Hain Tanhaii Main Akshar
Muddat Hoe Hai Us Ki Ziyarat Kiyay Hoay
Ab Mar Kay Milain Gay Kabhi Tanhaii Main Akshar
Wo Bhool Chuka Hai Mere Barbadi Ka Aalum
Ro'aay Ga Kabhi Taanha Wo Tanhaii Main Akshar
Ik Aur Gazhal Us Ki Nazar Paish Ho "UZAIR"
Dil Baar Baar Kahta Hai, Tanhaii Main Akshar
Uzair Mushtaq
Copy
Baat Karanii Mujhe Mushkil
Baat Karanii Mujhe Mushkil Kabhii Aisii To Na Thii
Jaisii Ab Hai Terii Mahafil Kabhii Aisii To Na Thii
Le Gayaa Chhiin Ke Kaun Aaj Teraa Sabr-O-Qarar
Beqaraarii Tujhe Ai Dil Kabhii Aisii To Na Thii
Chashm-E-Qaatil Merii Dushman Thii Hameshaa Lekin
Jaise Ab Ho Ga_Ii Qaatil Kabhii Aisii To Na Thii
Un Kii Aa.Nkho.N Ne Khudaa Jaane Kiyaa Kyaa Jaaduu
Ke Tabiiyat Merii Maa_Il Kabhii Aisii To Na Thii
Aks-E-Rukh-E-Yaar Ne Kis Se Hai Tujhe Chamakaayaa
Taab Tujh Me.N Maah-E-Kaamil Kabhii Aisii To Na Thii
Kyaa Sabab Tuu Jo Biga.Dataa Hai "Zafar" Se Har Baar
Khuu Terii Huur-E-Shamaa_Il Kabhii Aisii To Na Thii
Uzair Mushtaq
Copy
سِر شاخِ گُل
وہ سایہ دار شجر
جو مجھ سے دُور ، بہت دُور ہے، مگر اُس کی
لطیف چھاؤں
سجل، نرم چاندنی کی طرح
میرے وجود، میری شخصیت پہ چھائی ہے
وہ ماں کی بانہوں کی مانند مہرباں شاخیں
جو ہر عذاب میں مُجھ کو سمیٹ لیتی ہیں
وہ ایک مشفقِ ریرینہ کی دُعا کی طرح
شریر جھونکوں سے پتوں کی نرم سرگوشی
کلام کرنے کا لہجہ مُجھے سکھاتی ہے
وہ دوستوں کی حسیں مُسکراہٹوں کی طرح
شفق عذار،دھنک پیرہن شگوفے،جو
مُجھے زمیں سے محبت کا درس دیتے ہیں
اُداسیوں کی کسی جانگذار ساعت میں
میں اُس کی شاخ پہ سررکھ کے جب بھی روئی ہوں
تو میری پلکوں نے محسوس کرلیا فوراً
بہت ہی نرم سی اِک پنکھڑی کا شیریں لمس
نِمی تھی آنکھ میں لیکن مَیں مُسکرائی ہوں
کڑی دھوپ ہے
تو پھر برگ برگ ہے شبنم
تپاں ہوں لہجے
تو پھر پُھول پُھول ہے ریشم
ہرے ہوں زخم
تو سب کونپلوں کا رَس مرہم
وہ ایک خوشبو
جو میرے وجود کے اندر
صداقتوں کی طرح زینہ زینہ اُتری ہے
کرن کرن میری سوچوں میں جگمگاتی ہے
مُجھے قبول،کہ وجداں نہیں یہ چاند میرا
یہ روشنی مجھے ادراک دے رہی ہے مگر
وہ ایک جھونکا
جو اُس شہرِ گُل سے آیا تھا
اَب اُس کے ساتھ بہت دُور جاچکی ہُوں میں
میں ایک ننھی سی بچی ہوں ،اور خموشی سے
بس اُس کی اُنگلیاں تھامے،اور آنکھیں بند کیے
جہاں جہاں لیے جاتا ہے،جارہی ہوں میں
وہ سایہ دار شجر
جو دن میں میرے لیے ماں کا نرم آنچل ہے
وہ رات میں، میرے آنگن پہ ٹھہرنے والا
شفیق، نرم زباں، مہرباں بادل ہے
میرے دریچوں میں جب چاندنی نہیں آتی
جو بے چراغ کوئی شب اُترنے لگتی ہے
تو میری آنکھیں کرن کے شجر کو سوچتی ہیں
دبیز پردے نگاہوں سے ہٹنے لگتے ہیں
ہزار چاند، سرِشاخ گُل اُبھرتے ہیں
Uzair Mushtaq
Copy
Woh Firaaq Aur Woh Wisaal Kahaan
Woh Firaaq Aur Woh Wisaal Kahaan ?
Woh Shab-O-Roz-O-Maah-O-Saal Kahaan ?
uzair mushtaq
Copy
Na Tha Kuchch To Khuda Tha
Na Tha Kuchch To Khuda Tha, Kuchch Na Hota To Khuda Hota
Duboya Mujhko Hone Ne, Na Hota Main To Kya Hota
Huaa Jab Gham Se Yoon Behis To Gham Kya Sar Ke Katne Ka
Na Hota Gar Juda Tan Se To Zaanoon Par Dhara Hota
Huee Muddat Ke ‘Ghalib’ Mar Gaya Par Yaad Aata Hai
Wo Har Ek Baat Pe Kehana, Ke Yoon Hota To Kya Hota
Uzair Mushtaq
Copy
Dard-e-Yaar
Lagi Jo Choot Kisi Ko, Diyar-E-Yaar Main Fani
Lahoo Wahaan Pay Baha, Dard-E-Dil Yaha Pay Utha
Uzair Mushtaq
Copy
Kabhii Kitaabo.n Me.n Phuul Rakhanaa
Kabhii Kitaabo.N Me.N Phuul Rakhanaa
Kabhii Darakhto.N Pe Naam Likhanaa
Hame.N Bhii Hai Yaad Aaj Tak Vo
Nazar Se Harf-E-Salaam Likhanaa
[Darakht=Tree; Harf=Letter (As In Alphabet)]
Vo Chaa.Nd Chehare Vo Bahakii Baate.N
Sulagate Din The Mahakatii Raate.N
Vo Chhote-Chhote Se Kaagazo.N Par
Muhabbato.N Ke Payaam Likhanaa
[Payaam=Message]
Gulaab Cheharo.N Se Dil Lagaanaa
Vo Chupake Chupake Nazar Milaanaa
Vo Aarazuuo.N Ke Khvaab Bunanaa
Vo Qissaa-E-Naatamaam Likhanaa
[Qissaa=Tale/Story; Naatamaam=Unfinished]
Mere Nagar Kii Hasii.N Fazaao
Kahii.N Jo Un Ke Nishaan Paao
To Puuchhanaa Ye Kahaa.N Base Ho
Kahaa.N Hai.N Un Kaa Qayaam(?) Likhanaa
Ga_Ii Ruto.N Me.N "Hasan" Hamaaraa
Bas Ek Hii To Ye Mashagalaa Thaa
Kisii Ke Chehare Ko Subah Kahanaa
Kisii Kii Zulfo.N Ko Shaam Likhanaa
Uzair Mushtaq
Copy
Duniyaa Se Dil Lagaakar
Duniyaa Se Dil Lagaakar Duniyaa Se Kyaa Milegaa
Yaad-E-Khudaa Kiye Jaa Tujh Ko Khudaa Milegaa
Daulat Ho Yaa Hukuumat Taaqat Ho Yaa Javaanii
Har Chiiz Mitane Vaalii Har Chiiz Aanii-Jaanii
Ye Sab Guruur Ik Din Mittii Me.N Jaa Milegaa
Aataa Nahii.N Palatakar Guzaraa Huaa Zamaanaa
Kyaa Khvaab Kaa Bharosaa Kyaa Maut Kaa Thikaanaa
Ye Zindagii Ga.Nvaa Kar Kyaa Faayedaa Milegaa
Uzair Mushtaq
Copy
Dil Udhaas Hai Bahut
Dil Udhaas Hai Bahut Koyi Paigaam Hi Likh Do
Tum Apna Naam Na Likho, Gum-Naam Hi Likh Do
Meri Qismat Mein Gham-E-Tanhayi Hai Lekin
Tamaam Umr Na Likho Magar Ek Shaam Hi Likh Do
Zuroori Nahi Ki Mil Jaaye Sukoon Har Kisi Ko
Sare-E-Bazm Na Aao Magar Benaam Hi Likh Do
Ye Jaanta Hoon Ki Umr Bhar Tanha Mujhko Rehna Hai
Magar Pal Do Pal, Ghari Do Ghari, Mere Naam Hi Likh Do
Chalo Hum Maan Lete Hain K Sazaa K Mustahiq Thahre Hum
Koyi Enaam Na Likho Koyi Ilzaam Hi Likh Do
Uzair Mushtaq
Copy
Aap Ko Bhool Jayein Hum Itne To Bewafa Nahi
Aap Ko Bhool Jayein Hum Itne To Bewafa Nahi
Aap Se Kiya Gila Karein Aap Se Kuch Gila Nahi
Hum To Samajh Rahe The Yeh Tum Mile Pyar Mil Geya
Aik Tere Dard Ke Siwa Hum Ko To Kuch Mila Nahi
Kaash Woh Apne Ghum Humein Dedain To Kuch Sakoon Mile
Wo Kitna Badd Naseeb Hai Ghum Bhi Jissey Mila Nahi
Sheesha-E-Dil Ko Torna Unka To Aik Khel Hai
Humse Hi Bhool Ho Gayi Unki Koi Khata Nahi
Uzair Mushtaq
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets