✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Wajahat
Search
Add Poetry
Poetries by Wajahat
Mujhe Baksh De Jo Khata Karun
Jo Milay Hayat-E-Khizar Mujhe
Or Usay Main Sarf-E-Sana Karoon
Tera Shukar Phir Bhi Adaa Na Ho
Tera Shukar Kese Adaa Karoon
Tere Lutf Ki Koi Had Nahi
Ginoon Kis Tarha K Aadad Nahi
Nahi Koi Tere Siwa Mera
Kisay Yaad Tere Siwa Karoon
Main Bohat He Aajiz-O-Be Nawa
Tere Aagay Meri Bisat Kya
Main Kaha Karoon Tu Suna Kare
Tu Diya Kare Main Liya Karoon
Terey Dar Pe Kham Rahe Sir Mera
Teri Rehmaton Se Guzar Mera
Koi Bhool Ho Tum Muaf Kar
Mujhe Baksh De Jo Khata Karun
(AMEEN)
Wajahat
Copy
Mujhe Aisa Lutf Atta Kia
Mujhe Aisa Lutf Atta Kia
Jo Na Hijar Tha Na Wisaal Tha
Mere Mausamoon Ke Mizaj-Daan
Tujhe Kitna Mera Khayal Tha
Kahin Khoon-E-Dil Se Likha To Tha
Tere Saal-E-Hijr Ka Saneha
Wo Adhori Kitaab Kho Gayi
Wo Najane Konsa Saal Tha
Kisi Or Chehre Ko Dekh Ke
Teri Shakal Zehen Main Agayi
Tera Naam Leke Mila Use
Mere Hafize Ka Ye Haal Tha
Kabhi Mosamon Ke Azaab Main
Kabhi Dooriyon Ke Dyaar Main
Wahan Maine Umar Guzaardi
Jahan Saans Lena Mahaal Tha
Wajahat
Copy
Yaad Aye
Yun Akelay Mai Use Ehd-E-Wafa Yaad Aye
Jese Bandey Ko Musibat Main Khuda Yaad Aye
Jese Bhatke Huay Panchi Ko Nasheman Apna
Jese Apno Ke Bicharne Pe Dua Yaad Aye
Jese Dhalti Hui Shaamon Ko Sawera Koi
Jese Pinjrey Main Parindey Ko Fiza Yaad Aye
Jese Boorhay Ko Khayalaat Main Bachpan Apna
Jese Bache Ko Shararat Pe Saza Yaad Aye
Jese Ujri Hui Basti Ko Zamana Apna
Jese Toofan Ke Tehernay Pe Diya Yaad Aye
Wajahat
Copy
Suno!....Ae Chaand Se Saathi
Suno
Ae Chaand Se Saathi
Abhi Tum Kehrhe The Na
Tumhe Mujhse Mohabbat Ho Nahi Sakti
Chalo Maana Ke Ye Sach Hai
Magar Ae Chaand Se Saathi Mujhe Itna Bataao Tum
Ke Jab Mosam Badalte Hain
Guloon Main Rang Bharte Hain
To Phir Kiun Muztarib Ho Kar
Akele Pan Se Ghabra Kar
Hawa Ko Aaas Dete Ho
Mujhe Awaaz Dete Ho
Suno
Ae Chaand Se Saathi
Tumhaare Saamne Koi Mera Jab Naam Leta Hai
To Phir Kiun Chonk Jaate Ho
Chalo Maana Ke Tumhe Mujhse Mohabbat Ho Nahi Sakti
Magar Itna Samajhlo Tum Jahan Chahat Nahi Hoti
Wahaan Nafrat Ke Hone Ka Koi Imkaan Nahi Hota
Suno
Mera Daava Hai Mohabbat Main
Jahan Nafrat Nahi Hoti
Wahaan Aksar Ye Dekha Hai
Ager Kuch Waqt Kat Jaaye
Samey Ki Dhool Chhat Jaaye
To Wehshat Bhaag Jaati Hai
Mohabbat Jaag Jaati Hai
Wajahat
Copy
Jab Use Yaad Karun
Jab Use Yaad Karun Kitna Badal Jaaon Main
Dekhte Dekhte Ek Khuaab Mai Dhal Jaaon Main
Dil To Karta Hai Kabhi Haath Churra Kar Sab Se
Teri Aankhon Main Kahin Door Nikal Jaaon Main
Us Ki Ulfat Hai Ke Nafrat Se Dekhe Mujhko
Woh Kabhi Pyaar Se Dekhe To Pighal Jaaon Main
Faisla Ho Nahi Paya Hai Ye Barsoon Se
Aaj Jaaon Tere Sheher Se Yaa Kal Jaaon Main
Saadgi Raas Nahi Aayi Mohabbat Main
Ab Munaasib Hai Koi Chaal Hi Chal Jaaon Main
Wajahat
Copy
Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Kisi Ki Maang Sajti Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho
Mohabbat Jab Tarapti Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho
Khizaan Me Zard Patte Jab Bichar Jate Hain Shakhon Se
Koi Rut Jab Badalti Hai Mjhe Tum Yaad Ate Ho
Sama Jata Hai Ankhon Main Tere Jazbon Ka Bheega Pan
Kahin Baarish Barasti Hai Mjhe Tum Yaad Ate Ho
Mohabbat Bhi To Yunhi Doob Jaati Hai Andheroon Main
Shafaq Main Dhoop Dhalti Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho
Zamane Ke Sawalon Ko Main Hans Ke Taal Dun Lekin
Nami Ankhon Ki Kehti Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho
Wajahat
Copy
Aaj Halki Halki Baarish Hai
Aaj Halki Halki Baarish Hai
Aaj Sard Hawa Ka Raqs Bhi Hai
Aaj Phool Bhi Nikhre Nikhre Hain
Aaj Un Main Tera Aqs Bhi Hai
Aaj Badal Kaale Gehre Hain
Aaj Chand Pe Lakhon Pehre Hain
Kuch Tukre Teri Yaadon Ke
Barri Dair Se Dil Main Thehre Hain
Aaj Zehn Pe Tum Hi Chaaye Ho
Aaj Yaad Bohat Tum Aye Ho
Wajahat
Copy
Mat Dena
Dil Ke Jaltay Hoye Zakhmon Ko Hawa Mat Dena
Beety Lamhon K Kisi Pal Ko Sada Mat Dena
Teri Aankhon K Yeh Aanso To Anmol Moti Hai
Apni Nadani Main Tum In Ko Ganwa Mat Dena
Ab Maza Deny Laga Hai Dard-E-Mohabbat Mujhko
Mujhko Is Dard Ki Ab Koi Dawa Mat Dena
Yun Na Ho K Log Mohabbat Hi Say Toba Kar Lain
Is Tarah Jurm-E-Mohabbat Ki Saza Mat Dena
Log Aksar Yunhi Bina Puche Hi Chale Aate Hain
Koi Puche Bhi To Tum Dil Ka Pata Mat Dena
Rahil
Copy
Tark-e-Talluq Tu Is Tarah Na Mujhse Karta
Tark-E-Talluq Tu Is Tarah Na Mujhse Karta
Koi Shikayat Thi To Gila Mujhse Karta
Bicharr Ke Khud Ko Bhi Kiun Azziyat Deta Hai
Usko Karna Hi Tha Bura, To Bura Mujhse Karta
Main Bewafa Tha To Kiun Chorr Gaya Mujhko
Or Baawafa To Wafa Mjhse Karta
Hum Main Agar Na Hoti Khudsaari Ki Kho
Kiski Jurrat Thi Ke Tujhko Juda Mujhse Karta
Zaror Koi Majburi Hogi Uski WAJAHAT
Warna Yaqeen Hai Woh Aisa Kabhi Na Mujhse Karta
Wajahat
Copy
Mujhe Ehasas Rehne do
Mujhe Itna Na Chaaho Ke Main Khud Ko TUM Samajh Bethun
Mujhe Ehsaas Rehne Do Meri Apni Bhi Hasti Hai
Wajahat
Copy
Ghafil Teri Yaadon Se Hua Main To Nahi Tha
Ghafil Teri Yaadon Se Hua Main To Nahi Tha
Tu Tha Hi Juda Tujh Se Juda Main To Nahi Tha
Ja Tu Meri Guftaar Ke Qabil Hi Nahi Hai
Ye Lafz Kabhi Keh Ke Gaya Main To Nahi Tha
Besaakhta Ghabra Ke Pukara Tha Kisi Ko
Socho Teri Honton Ki Sada Main To Nahi Tha
Koi To Mere Jurm Ki Tafseel Bata De
Aey Humnawa Tere Haq Mai Bura Main To Nahi Tha
Taqdeer Ka Likha Hua Paya Hai Sabhi Ne
Tha Jo Bhi Magar Tera Khuda Main To Nahi Tha
Wajahat
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets