✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Waqas Ahmad
Search
Add Poetry
Poetries by Waqas Ahmad
Tum Samnay Beth K
Baray Shok Se Mar Jaaen Gay Hum "Magar Shrt Yeh Hai K Mohsin
Tum Samnay Beth K Saason Ka Tasalsul Toot'ta Dekho
waqas BHUTT
Copy
Mil Jaey Jo Saath Tera
Kissi Roz Sham K Waqt
Suraj K Aram K Waqt
Mil Jaey Jo Saath Tera
Hath Men Lay K Hath Tera
Door Kissi Tanhae Men
Duniya Say Judae Men
Apnay Sang Bithaon Tujhay
Dil Ka Haal Sunaoon Tujhay
Teray Hathon Ki Lakeron Men
Talash Apna Nam Karun
Kissi Roz Sham K Waqt
Suraj K Aram K Waqt
WAQAS BHUTT
Copy
Is Eid Pay Lout Ke Aa Jana
Is Eid Pay Lout Ke Aa Jana
Kuch Yadein Taza Karni Hain
Kuch Lamhey Morr Ke Laney Hain
Kuch Taarey Torr K Laney Hain
Wo Masti Or Madhoshi
Wo Bachpan Morr Ke Laana Hai
Is Eid Pe Lout Ke Aa Jana
Ab Dil Ko Dil Ki Dharkan Se
Phir Eid Mubarak Kehni Hai
Ab Saath Bohat Din Rehna Hai
Is Eid Pay Lout Ke Aa Jana
WAQAS BHUTT
Copy
Wo Shehr Se Gaya Hai To
Hoon Gy Juda Hum Esttrah Imkan To Na Tha
Yeh Dil Kabhi B Estrah Weeraan To Na Tha
Jese Hua Hai Ab K Wo Halaat Se Mery
Pehle Kabhi Wo Estrah Anjan To Na Tha
Wo Shehr Se Gaya Hai To Ronaq Bhi Legaya
Yeh Shehr Estrah Kabhi Sunsaan To Na Tha
Ek Piyar Ki Jageer Ka Malik Tha Mein Kabhi
Pehle Se Youni B Saro Samaan To Na Tha
Mohsin Hum Ne Paya Ishq Mein Naffa Bohut
Ess Karobar Mein Koi Nuqsaan To Nahi Tha
WAQAS BHUTT
Copy
Itni Udaas Raat Mein
Be Khawab Lamhon Ka Parastar Kon Tha
Itni Udaas Raat Mein Bedaar Kon Tha
Kis Ko Yeh Fikar Thi Ke Muhabbat Mein Kiya Howa
Hum Is Pe Larr Rahe The K Wafadaar Kon Tha
So Kashtiyan Jala K Chaly Sahilon Se Hum
Ab Tum Ko Kiya Batayein K Us Paar Kon Tha
Yeh Faisla To Shayad Waqt Bhi Na Kar Sakay
Such Kon Bolta Tha Adakaar Kon Tha
Zamaney Guzar Gaye Yeh Sochte Howe S
Mein Kis Ko Kahoon Apna Mera Ghum Khawar Kon Tha?
waqas bhutt
Copy
Muhabbat Rooth Jaye To
Wafa Jab Masilat Ki Shaal Orhay
Sarad Rut Ka Roop Dharay
Dil K Aangan Mein Utrati Hai
To Palkon Par Sitaron Ki Dhanak Muskurane Lagti Hai
Kabi Khawabon K Aan-Chuwway Khayalon Se B
An Dekhi An Jaani Si
Khushbo Aane Lagti Hai
Kisi K Sang Beetay An-Ginat Lamhon Ki Zanjeerin
Aaanchanak Zehan Mein Jab Gungunati Hain
Nafas K Taar Mein San'nata Uth'ta Hai
To Youn Mehsos Hota Hai
Hawayen Aa K Sargoshi Karti Hain
Muhabbat Ka Tuimhain Idraak Ab To Ho Gaya Ho Ga
Yeh Jo B Zakhm Deti Hai Kabhi Seene Nahi Deti
Muhabbat Rooth Jaye To Kabhi Jeenay Nahi Deti
waqas bhutt
Copy
Mil Hi Jaye Ga
Mil Hi Jaye Ga Hum Ko B Koi Na Koi Toot K Chahne Wala Se
Ab Shehar K A Shehar To Bewafaa Nahi Hota
WAQAS BHUTT
Copy
Tumhare Naam Karta Hoon
Tumhari Yaad Ki Kirnon Ko Aksar Aankh Meinn Rakh Kar
Mein Apni Nind Khota Hon To Yeh Meri Muhabbat Hai
Hawa Ehsaas Khushboo Chandni Ko Dekh Kar Aksar
Tere Dhoke Mein Rehta Hon To Yeh Meri Muhabbat Hai
Falak Pe Chand Taaron Ke Haseen Jhurmat Ke Manzar Mein
Tere Chehre Ko Takta Hon To Yeh Meri Muhabbat Hai
Mein Apni Zindagi Ke Saare Jazbon Ko Mere Humdam
Tumhare Naam Karta Hoon To Yeh Meri Muhabbat Hai
waqas bhutt
Copy
Bus Ek Tu Hi To Reh Gaya
Mein Nafraton K Jahan Mein Reh Kar Juda Karon Ga To Kiya Karon Ga
Yeh Thek Kehty Ho Bewafa Hoon Wafa Karon Ga To Kiya Karon Ga
Bus Ek Tu Hi To Reh Gaya Hai Jahan Sara Kho Chuka Hon
Tujhe Bhi Apni Aana Mein Aa Kar Khafa Karon Ga To Kiya Karon Ga
Hazar Sajdy To Kar Chuka Hon Qaza Tumhari Muhabbton Mein
Mein Ab Dikhawy Ka Koi Sajda Aada Karon Ga To Kiya Karon Ga
Baghair Pani Bhi Koi Machli Bhala Kabhi Reh Saki Hai
Mien Tujh Ko Kho Kar Kisi Ka Ho Kar Bata Karon Ga To Kiya Karon Ga
waqas bhutt
Copy
Yeh Sardion Ki Udass Ratein
Kisi Ko Pany Ki Justuju Mein
Thakan Se Khud Ko Nidhal Rakhna
Jab Us Se Milna To Kuch Na Kehna
Faqat Nazar Mein Sawal Rakhna
Agar Tumhein Hai Sukun Ki Khwaish
To Sirf Itna Khayal Rakhna
Nasib Subha-E-Uroj Ho To
Nazar Mein Sham-E-Zawal Rakhna
Yeh Sarion Ki Udass Ratein
Aur Uski Yaadon Ki Chandni
Khayal Rakhna Na Bhigeen Aankhen
Zabt-E-Gham Mein Kamal Rakhna
Jo Tera Gham Hai Wo Gham Hai Mera
Teri Khushi Mein Meri Khushi Hai
Jo Ho Sakay To Khush Hi Rehna
Meri Khushi Ka Khayal Rakhna
Waqas Bhutt
Copy
Teri Chahatain Wo Kahan Gayeen
Terey Intezar Ki Rait Par
Koi Lafz Mein Ne Likha Na Tha
Koi Hurf Mein Ne Kaha Na Tha
Koi Khawab Mein Ne Chuna Na Tha
Issi Intezar Ki Rait Par
Meri Aarzo Ke Gulaab The
Teri Justuju K Saraab They
Sabi Chahaton Ke Jawab The
Sabi Hasratain Wo Kahan Gayeen
Teri Chahatain Wo Kahan Gayeen
Mere Humnasheen Mere Hum Nawa
Mein Palat Ke Shayad Na Aa Sakun
Issi Intezar Ki Rait Par
Mein Bikar Gaya Hon Hawaoon Mein
Mujhe Yaad Rakhna Duaoon Mein
Waqas Bhutt
Copy
Sawan Jo Barasta Hai Kabhi
Jaltey Honton Pe Tabassum Jo Machalta Hai Kabhi
Zakham Dhul Jate Hai Sawan Jo Barasta Hai Kabhi
Mein Ne Sochon Mein Tarashey Hain Terekhad-O-Khal Tere
Mere Barey Mein Bhi Bata Tu Ne Socha Hai Kabhi
Chahrte Suraj Sekabhi Tu Ne Milaai Hai Nazar
Aur Kirno Ki Taraf Ghor Se Dekha Hai Kabhi
Log Pathar Mein Khilatey Hain Umeedo Ke Gulaab
Yun Bhi Mumkin Hai Bata Aisa Bhi Hota Hai Kabhi
Tu Ne Samja Tha Ke Mein Lot Ke Aa Jaoon Ga
Aankh Se Bichra Huwa Askh Bhi Lota Hai Kabhi
Waqas Bhutt
Copy
Jo Tu Mil Gaya Tujhe Kho Diya
Kabhi Iss Nagar Tujhe Dekhna
Kabhi Uss Nagar Tujhe Dhondna
Kabhi Raat Bar Tujhe Sochna
Kabhi Raat Bar Tujhe Dhondna
Mujhe Ja Baja Teri Justuju
Tujhe Dhondta Hon Mein Koo Ba Koo
Kahan Khul Saka Tere Rubaru
Mera Iss Qadar Tujhe Dhondna
Mera Khawb Tha Ke Khayal Tha
Wo Aaroj Tha Ke Zawal Tha
Kabhi Arash Tujhe Dekhna
Kabhi Farsh Per Tujhe Dhondna
Yahan Her Kisi Se Hi Ber Hai
Tera Sheher Qariya Ber Hai
Yahan Sehel Bhi Nahi Koi
Mere Be Khabar Tujhe Dhondna
Teri Yaad Aayi To Ro Diya
Jo Tu Mil Gaya Tujhe Kho Diya
Mere Silsile Bhi Ajeeb Hain
Tujhe Chor Kar Tujhe Dhondna
Yeh Meri Ghazal Ka Kamal Hai
Ke Teri Nazar Ka Jamal Hai
Tujhe Sheher Sheher Mein Sochna
Sare Bam-O-Dare Tujhe Dhondna
Waqas Bhutt
Copy
Humare Bus Mein Hota To
Humare Bus Mein Hota To
Tumhein Bahon Mein Bar Letey
Tumhein Sab Se Chupa Letey
Tumhein Aankhon Mein Rakh Letey
Kabhi Na Rothne Dete
Kabhi Na Totne Dete
Tumhein Hum Qaid Kar Lete
Bus Apne Dil Ki Duniya Mein
Kisi Bhi Haal Mein Hum Phir
Tumhein Azad Na Karte
Sabhi Duniya Bhula Dete
Tumhein Apna Bana Letey
Humare Bus Mein Hota To
Magar Hai Bebasi Aisi
Humara Dil Machalta Hai
Tumhein Hi Yaad Karta Hai
Tumhara Qurb Chahta Hai
Magar Hum Kiya Karen Aakhir
Humara Bus Nahi Chalta
Waqas Bhutt
Copy
Koi Humsafar Nahi
Koi Humsafar Nahi Koi Raazdaan Nahi Hai
Faqat Ek Dil Tha Apna So Wo Bhi Mehraban Nahi Hai
Kis Aankh Ko Sada Don Kis Zulf Ko Pukaron
Bari Dhoop Parr Rahi Hai Koi Sayebaan Nahi Hai
Mere Dard Ki Haqeeqat Mere Aansuon Se Poocho
Mera Majlisi Tabbasum Mera Tarjumaan Nahi Hai
Inhi Pathron Pe Chal Ke Aa Sakte Ho To Aao
Mere Ghar Ke Raste Mein Koi Kehkashaan Nahi Hai
Waqas Bhutt
Copy
Apni Hi Zaat Se Jata Hon Bichhar
Khawab Ban Kar Meri Aankhon Mein Theher Sham Dhaly
Kanhi Jugnu Ki Tarah Dil Se Guzar Sham Dhaly
Aa Kabhi Dekh Mere Dil Ke Andhery Tu Bhi
Dard Ban Ke Mere Seeny Mein Utar Sham Dhaly
Khushk Patton Ki Tarah Kabhi Khawbon Ki Tarah
Kitni Bedardi Se Jata O Bikhar Sham Dhaly
Yoon To Veeraan Si Rehti Hain Yeh Piyasi Aankhain
Banney Lagte Hain In Mein Bhanwar Shamdhaly
In Charaghon Se Andhera To Nahi Kam Ho Ga
Chaand Ban Kar Mere Aagan Mein Theher Sham Dhaly
Bain Karty Hain Jab Meri Aankh Mein Khawab Tere
Apni Hi Zaat Se Jata Hon Bichhar Sham Dhaly
Waqas Bhutt
Copy
Suno Pas-E-Wafa Rakhna
Bohat Hi Maan Hai Tum Par
Suno Pas-E-Wafa Rakhna
Sabhi Se Tum Milo Lakin
Zara Sa Fasla Rakhna
Bichar Jana Bhi Parta Hai
Zara Sa Hosla Rakhna
Wo Sare Vasal Lamhy
Tum Aankhon Mein Sja Rakhna
Abhi Imkan Baqi Hai
Abhi Lab Par Dua Rakhna
Bohat Nayab Hon Dekho
Mujhe Sab Se Juda Rakhna
Waqas Bhutt
Copy
Mein Us Se Door Ho Jaon
Koi Harf-E-Tasali Koi Dilasa Bhi Nahi Hai
Es Bare Sheher Mein Koi Aur Shanasa Bhi Nahi Hai
Kabhi Lagta Hai Mein Us Ki Rooh Mein Hoon Shamil
Kabhi Lagta Hai Wo Mera Zara Sa Bhi Nahi Hai
Us Ki Talab Mein Roz-O-Shab Khoon Ke Aanso Piyon
Dil Mera Iss Qadar Piyasa Bhi Nahi Hai
Tarke Taaluq Kar To Lon Lakin Yeh Sochta K Darta Hon
Ke Uss Ke Siwa Zindagi Mein Koi Easa Bhi Nahi Hai
Mein Us Se Door Ho Jaon Yeh Mumkin Hai
Magar Us Ke Bina Jee Paon Easa Bhi Nahi Hai
Waqas Bhutt
Copy
Muhabbatein Neelam Karti Hain
Muhabbatein Neelam Karti Hain
Suno Muhabbaton Se Bach K Rehna
Muhabbatein Rulati Hain Muhabbatein Satati Hain
Yeh Har Kisi Ki Nahi Banti
Kisi Kisi Ko Raas Aati Hain
Gar Raas Na Aaein To Aziyaton Ka Gulaam Karti Hain
Ruswa Sar-E-Aam Karti Hain
Muhabbatein Neelam Karti Hain
Waqas Bhutt
Copy
Teri Yaadain Udass Karti Hain
Bheega Raaton Mein Aksar
Palkon Pe Ashokon Ke Chargh Saja Kar
Aaj Bhi Najane Kyun
Tujhe Aankain Talash Karti Hain
Teri Yaadain Udass Karti Hain
Tanhaion K Dashte-E-Veran Mein
Chahten Daman Mein Samete
Wisal Ke Pur Noor Lamhon Mein
Kisi Ke Milan Ki Aas Le Kar
Tujhehasraten Talash Karti Hain
Teri Yaadain Udass Karti Hain
Waqas Bhutt
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets