Wo Bulandioun Se Agy Safar Krny Waly
Wohi Zer Ko Bhi Zabar Krny Waly
Jo Zarry Ko Dekhain To Zarr Krny Waly
Wo Habshi Ko Rashk-E-Qamar Krny Waly
Rhy Khawb Me Un Ka Hi Ana Jana
Nhi Kuch Bhi Mushkil Is Azmat Ko Pana
Drudoon K Tuhfy Nazar Krty Rehna
Wo Hain Rukh Se Prda Utha Deny Waly
Gareeboon K Hajat Rwa Bn K Aye
Fqeroon K Mushkil Kusha Bn K Aye
Marezoon Ki Khatir Shifa Bn K Aye
Piasoon Ki Khatir Smundar Bn`Ny Waly
Wo Rukh Jis Pe Aalm Fida Jay Sara
Wo Rang Jis Pe Noor-E-Shams Bhi Nisara
Pseena Ke Jis Se Chaman Me Bahara
Wo Tasawar K Rangoon Pe Chha Jany Waly
Wo Wasf-E-Qaleemi Me Mosa Se Barh Kr
Ijaz-E-Masehi Me Esa Se Barh Kr
Wo Rutby Me Sb Anmbia Se Barh Kr
Wo Roz-E-Hashar Sb K Kam Any Waly