Wo Uthi Ruthi Ye Keh Rahi Thi Qarib Aao Mujhe Manao
ho mard to aage barh ke mujh ko gale lagao mujhe manao
main kal se naraz hun qasam se aur ek kone mein ja pari hun
han main ghalat hun dikhao phir bhi tumhi jhukao mujhe manao
tumhare nakhron se apni an ban to barhti jaegi sun rahe ho
tum ek sorry se khatm kar sakte ho tanao mujhe manao
tumhein pata bhi hai kis sakhi se tumhaara pala para hua hai
muaf kar dungi tum ko fauran hi aao aao mujhe manao
mujhe yun apne se dur kar ke na khush rahoge ghuroor kar ke
so mujh se kuch fasle pe rakho ye rakh rakhaw mujhe manao
mujhe batao ki meri narazgi se tum ko hai farq koi
main kha rahi hun na jane kab se hi pechtaow mujhe manao
mujhe pata hai mujhe manane ko tum bhi bechain ho rahe ho
to kya zaruri hai tum bhi itne bharam dikhao mujhe manao
mera irada to pahle hi se hai man jane ka sach bataun
tum apne bhar bhi tamam harbon ko aazmao mujhe manao
bahut bure ho meri dikhawe ki nind ko bhi tum asl samjhe
kahin se sikho piyar karna mujhe jagao mujhe manao
tum apne andaz mein ki jaise charha ke rakhte ho astinen
to main tumhara radif wali ghazal sunao mujhe manao
Khilaf-e-ma'mul mood acha hai aaj mera main keh rahi hun
ki phir kabhi mujh se karte rahna ye bhaw taw mujhe manao
main parle darje ka hat dharam tha ki phir bhi us ko mana na paya
so ab bhi kanon mein gunjta hai mujhe manao mujhe manao