Add Poetry

YA ILAHI (Dua)

Poet: Fayaz Mohammed (Shakir) By: Fayaz Mohammed (Shakir), Mumbai-India

Teri Zaat Se Wabasta Hona Chahta Hoo’n
Ya ilahi Sajdey Mein Khub Rona Chahta Hoo’n

Gunaho’n Se Mera Bhi Daaman Saaf Ho Jaye
Bass Yahi Ek Dua Tujh Se Mangna Chahta Hoo’n

Meri Khatao’n Ko Maaf Kardey, Ya ilahi !
Sajdey Mein Teri Rehmato’n Ko Sametna Chahta Hoo’n

Apne Daaman Ko Aansu’on Se Bhigo Kar, Ya ilahi !
Teri Bargah Se Bakhshish Paana Chahta Hoo’n

Haazri Mayssar Aaye Mere Bhi Naseeb Mein
Ya ilahi, Tere Ghar Ka Tawaf Karna Chahta Hoo’n

Hatho’n Ko Phailaye Baithe Hain, Kuch Is-tarah Se
Ya ilahi, Tere Mehbub Ka Mehbub Banna Chahta Hoo’n

Andaz-e- Ahmed Raza Mere Paas Nahi Hai Maula
Bass Yunhi Teri Be-Baak Sana Likhna Chahta Hoo’n

Raai Daane Ka Imaa’n Salamat Rahe Us Ghadi
Bass Akhri Sans Naam-e-Mohammed Lena Chahta Hoo’n

Gumbad-e-Khazra Ke Saaye Mein Khadey Hokar, Ya ilahi !
Tere Nabi Par Durud-o-Salam Padhna Chahta Hoo’n

Ya ilahi, Kalam-e-Shakir Mein Shayad Wo Taasir Na Sahi
Shan-e-Risalat Mein Kuch Likhne Ka Bahana Chahta Hoo’n

Maqaam-e-Mehmood Ka Sadqa Ataa Kar Ya ilahi
Roz-e-Mehshar Har Ruswaee Se Bachna Chahta Hoo’n

Har Taraf Khun-Rezi Hai, Aye Khuda Rahem Farma
Apni Dua’on Se In Halaat Ko Badalna Chahta Hoo’n

Ya ilahi, Kufr Ki Deewarein Bana-Di Hain Dushmano Ne
Masjid-e-Aqsa par Fateh Ka Alam Lehrna Chahta Hoo’n
 

Rate it:
Views: 866
14 Jul, 2014
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets