Ye jo halka halka suroor hai
Ye teri nazar ka qasoor hai
Ke sharab pena sikha diya
Tere pyar ne teri chaah ne
Tteri behki behki nigaah ne
Mujhe ek sharabi bana diyaa
Sharab kaisi, Khumaar kaisa
Ye sab tumhari navazishen hain
Pilayi hai kis nazar se tu ne
Ke mujh ko apni khabar nahin hai
Sara Jahan mast, Jahan ka nizam mast
Din mast, Raat mast, Seher mast, Shaam mast
Mast shisha, Mast subu, Mast jaam mast
Hai teri chashm-e-mast se har Khas-o-am mast
Ye jo saaqi har tarah ki tere may-khane main hai
Wo bhi thorri si jo in ankhon ke paimane main hai
Sab samajhta hun teri ish nazar ai saaqi
Kaam karti hai nazar, naam hai paimane ka
Teraa pyar hai bas meri zindagi
Na namaz ati hai mujhko na vuzu ata hai
Sajdaa kar leta hun jab samne tu ata hai
Main azal se banda-e-ishq hun
Mujhe zuhd-o-kufr ka gham nahin
Mere sar ko dar tera mil gayaa
Mujhe ab talash-e-haram nahin
Meri bandagi hai vo bandagi
Jo baqaid-e-dair-o-haram nahin
Mera ek nazar tumhain dekhna
Ba-Khuda namaz se kam nahin
Tera pyar hai bas meri zindagi
Qayamat main tera dagh-e-muhabat lekar uthaungaa
Teri tasvir us dam bhi kaleje se lagi hogi
... Kyunkey,
Tera pyar hai bas meri zindagi
Teri yaad hai meri bandagi
Jo teri khushi, wo meri khushi
Ye mere junoon ka hai mojizaa
Jahaan apne sar ko jhuka diyaa
Vahan main ne Kaaba bana diyaa
Mere baad kisko sataaoge?
Dil jalon se dil lagi achi nahin
Rrone Walon se hansi achi nahin
Dil lagi hi dil lagi main dil gaya
O mera dil gaya, dil gaya, dil gayaa
Khuda ke liye apni nazron ko roko warna
Mera dil gaya, dil gaya, dil gayaa
Meri tarah Khuda kare tera kisi pe aye dil
Tu bhi kaleja tham ke kahta phire ke haye dil
Mera dil gaya, dil gaya, dil gayaa
Dil lagi hi dil lagi main dil gayaa
Dil lagane ka nateja mil gayaa
Main to rota hoon ke mera dil gayaa
Tum kyun hanste ho tumhain kya mil gayaa?
... Achaa phir
Mere baad kisko sataogey?
Mujhe kis tarah se mitaogey?
Kahaan jaa kar teer chalaaogey?
Meri dosti ki balayain lo
Mujhe hath utha kar duaain do
Tumhain ek qatil bana diyaa