Ye Kaisa Pakistan Hai? Ye Apna Pakistan Hai?
Kahin Goli Kahin Pe Bomb Kahin Talwar Hathon Main.
Ke Pehlay Qalam Kitaben Thin Aur Ab Hai Khoon Hathon Main.
Ke Jahan Har Lamha Thi Shokhi Wahi Ghar Ab Wiraan Hai.
Ye Kaisa Pakistan Hai? Ye Apna Pakistan Hai?
Kahin Hathon Main Lashen Hain Kahin Matam Hai Galion Main.
Jahan Par Pani Behta Thawahan Hai Khoon Nadiun Main.
Jahan Khushiun Ki Lehrain Thin Wahi Ghar Ab Sunsaan Hai.
Ye Kaisa Pakistan Hai? Ye Apna Pakistan Hai?
Kahin Pe Khouf Ke Saye Kahi Pe Nafrat Basti Hai.
Jahan Har Cheez Mehangi Hai Jahan Bas Jaan Sasti Hai.
Nahi Koi Bacha Apna, Faqt Khali Makaan Hai.
Ye Kaisa Pakistan Hai? Ye Apna Pakistan Hai?
Na Roti Hai Na Kapra Hai Na Peenay Ko Yahan Pani.
Jahan Rehnay Ko Ghr Na Hun Wahan Jeena Hai Be-Mani.
Jahan Insaaf Tha Janaan, Wahan Par Zulm Ab Sultan Hai.
Ye Kaisa Pakistan Hai? Ye Apna Pakistan Hai?
Kahi Lut'ti Hain Behnai To Kahin Pe Zulm Ke Saye.
Kahi Firqon Ki Jangain Hain, Kahin Chaye Hain Andheray.
Hayat-E-Pursakun To Dur Yahan Jeena Balaye Jaan Hai.
Ye Kaisa Pakistan Hai? Ye Apna Pakistan Hai?