Teri Bargah Se Hamein Mangna Nahi Aata
Sajdey Mein Hokar Bhi Rona Nahi Aata
Ye Kaisi Justuju Hai, Ye Kaisa Hai Junu’n
Zindagi To Mili Hai, Magar Jeena Nahi Aata
Aye Khuda Mujhe Bhi Madine Ka Musafir Bana De
Manzil To Pata Hai Magar, Rasta Nazar Nahi Aata
Sukhey Patto’n Ki Manind Bikhar Rahi Hai Zindagi
Kaya Karu, Bahar Mein Mujhe Khilna Nahi Aata
Jab Bhi Qadam Uthain Hain Janib-e-Manzil, Magar !
Apno Se Juda Hokar Ya ilahi Chalna Nahi Aata
Tere Ehsano Ka Badla Hum Kaise Chukain Ya Rab ?
Kya Karu, Zuba’n Se Shukr Adaa Karna Mujhe Nahi Aata
Is Be-Khayali Mein Aye Dost, Kab tak Umr Guzaro-ge
Kya Gunaho Se Apna Daman Chudana Tumhe Nahi Aata ?
Ye Kin Andhero’n Mein Bhatak Rahe Hain Shakir Aaj Bhi
Lakh Koshi-sho’n Baad Bhi Tumhe Ujala Nazar Nahi Aata