Ye To Barzakh Hai Yahan Waqt Ki Ijad Kahan
Ek Baras Tha Ki Mahina Hamen Ab Yaad Kahan
Ruh Be-Zar Hai Kyun Chhod Na Jae Qalib
Sab Ko Mil Jae Gunahon Ka Yahin Khamyaza
Zist Karne Ki Mashaqqat Hi Hamen Kya Kam Thi
Hum Bhi Kya Yaad Karenge Ki Khuda Rakhte The
Mustazad Us Pe Pirohit Ka Junun-E-Taza
Tadte Hain Kisi Chehre Pe Tarawat To Nahin
Sud-Khoron Ki Tarah Dar Pe Sahar Aati Thi
Mohtasib Kitne Nikal Aae Gharon Se Har Su
Kucha Kucha Men Nikale Hue Khuni Dide
Na-Rawa-Dar Fazaon Ki Jhulasti Hui Lu!
Zindagi Apni Isi Taur Jo Guzri Ghaalib
Ja-Ba-Ja Tishna O Aashufta Wahi Khak-Nashin
Koi Lab Nam To Nahin Bashre Pe Farhat To Nahin
Nau-E-Adam Se Bahar-Taur Riya Ke Talib
Gurz Uthae Hue Dhamkate Phira Karte Hain
Shab-Garan Zist-Garan-Tar Hi To Kar Jati Thi
Wahi Tapta Hua Gardun Wahi Angara Zamin