Add Poetry

Ye Zard Mausam Ke Khushk Patte

Poet: SAIF ASHIR By: SAIF ASHIR, Islamabad

Ye Zard Mausam Ke Khushk Patte
Havaa Jinhe.N Le Ga_Ii U.Daakar
Agar Kabhii In Ko Dekh Paao
To Soch Lenaa
Ki In Me.N Har Barg Ke Namuu Me.N
Ziyaa.N Gayaa Arq Shaakh-E-Gul Kaa
Kabhii Ye Sar_Sabz Ko.Npale.N The
Kabhii Ye Shaadaab Bhii Rahe Hai.N
Khule Huye Ho.Nth Kii Tarah Narm Aur Shaguftaa
Bahut Dino.N Tak
Ye Sabz Patte
Havaa Ke Relo.N Me.N Bebasii Se Ta.Dap Chuke Hai.N
Magar Ab Ye Khushk Ho Rahe Hai.N
Magar Ye Ab Khushk Ho Chuke Hai.N
Agar Kabhii Is Taraf Se Guzaro
To Dekh Lenaa
Barahanaa Shaakhe.N Havaa Ke Dil Me.N Ga.Dii Hu_Ii Hai.N
Ye Ab Tumhaare Liye Nahii.N Hai.N

Rate it:
Views: 1841
05 Jul, 2011
Related Tags on Friendship Poetry
Load More Tags
More Friendship Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets