✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Zaheer
Search
Add Poetry
Poetries by Zaheer
Kabi Thak k So Gaye Hum
Kabi Thak K So Gaye Hum, Kabi Raat Bhar Na Soye
Kabi Hans K Ghum Chupaya, Kabi Munh Chupa K Roye
Meri Dastan-E-Hasrat Wo Suna Suna K Roye
Mere Azmany Waley Mujhey Aazma K Roye
Shab-E-Gham Ki Aap Beeti Jo Sunayi Anjuman Main
Kai Sun K Muskraye, Kai Muskura K Roye
Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Be-Kasi Hai
Mera Koi Bhi Nahi Hai Jo Galey Laga K Roye
Mere Paas Se Guzar Ker Mera Haal Tak Na Pucha
Main Ye Kese Maan Jaun K Woh Door Jaa K Roye
Zaheer Arshad
Copy
Koi Umeed jo Hoti Tere Lot Aane Ki
Koi Umeed Jo Hoti Tere Lot Aane Ki
Phir Na Hoti Aisi Halat-E-Dil Deewane Ki
Main To Har Haal Mai Khush Rehne Ki Justju Mai Raha
Na Gai Teri Aadat Woh Sataane Ki
Zindgi Jabr-E-Musalsal Ki Tarah Kat Raha Hon
Nahi Deta Koi Dua B Mar Jane Ki
Tere Sang Beeta Har Lamha Yaad Aata Hai
Jab B Koshish Ki Tujhe Bhulane Ki
Ab To Aksar Yahi Sochta Rehta Hon Tanha
Tujh Ko Mangon Ya Mangon Dua Tujhe Bhulane Ki
Zaheer Arshad
Copy
Kuch Khud Bhi Thay Afsurda Se
Kuch Khud Bhi Thay Afsurda Se
Kuch Tum Bhi Hamse Rooth Gaye
Kuch Khud Bhi Zakham K Aadi Thay
Kuch Sheeshay Hath Se Choot Gaye
Kuch Khud Bhi Thay Hassas Bohat
Kuch Apnay Muqadar Roth Gaye
Kuch Tumko Such Se Nafrat Thi
Kuch Hamse Bolay Na Jhoot Gaye
Kuch Logon Ne Uksaya Tumhen
Kuch Apnay Muqadar Phoot Gay
Kuch Khud Itnay Muhtaat Na Thay
Kuch Log Bhi Hum Ko Loot Gaye
Kuch Talkh Haqaaiq Thay Itnay
K Khwab Hi Saray Toot Gaye
Zaheer Arshad
Copy
Mery Har Udas Pal Main
Mery Har Udas Pal Main
Mera Sath Chor Jana
Ye Kahan Ki Ulfatain Hain
Ye Kahan Ki Dosti Hy
Tumhain Daikh Kr Laga Tha
Tumhi Zindgi Ho Meri
Tumhi Bandgi Ho Meri
Tumhi Har Khushi Ka Saya
Tumhi Saadgi Ho Meri
Mujhy Kya Khabar Thi Janaa
Tum Yun Wafa Karo Gay
Mery Har Udas Pal Main
Mera Sath Chor Do Gey
Zaheer Arshad
Copy
Kisey Pukarain Hum
Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-E-Gham Main
K Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain
Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha
Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain
Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girte
K Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain
Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain
Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
K Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain
Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain
Ab Dast-E-Shanasai Na Barhayain Gay Hum
K Zamane Bhar Se Thukrai Hue Hain
Zaheer Arshad
Copy
Larkiyan Bewafaa Nahi Hoti
Woh To Majbooriyo Main Lipti Hain
Apnay Shiddat Bharay Khayalo Main
Apnay Ander Chupi Ek Aorat Main
Woh Hamesha He Darti Rehti Hain
Na To Jeeti Hain Na To Marti Hain
Larkiya Bewafaa Nahi Hoti
Per Hamesha Hi Darti Rehti Hain
Apni Rasam Or Riwajon Se
Anay Walay Naye Azabo Se
Zarorat Main Khilay Gulabo Se
Pyar Karti Hain Or Chupati Hain
Larkiyan Bewafaa Nahi Hoti
Kyo K Majboorio Mai Lipti Hain
Or Har Lamha Darti Rehti Hain
Apnay Pyaaro Se Apnay Saaye Se
Apnay Rishto Se Dil Ki Dharkan Se
Apni Khuwahish Se Apni Khushiyo Se
Larkiyan Bewafaa Nahi Hoti.
Zaheer Arshad
Copy
Zindgi Per Kitaab Likhunga
Zindgi Per Kitaab Likhunga
Uss Me Sary Hisaab Likhunga
Pyar Ko Waqt Guzari Likh Ker
Chahton Ko Azaab Likhunga
Hui Barbad Muhabbat Kesy
Kesy Bikhry Hain Khuwab Likhunga
Apni Khwahish Ka Tazkra Ker K
Naam Uss Ka Jawab Likhunga
Uski Aankhain Sharab Ki Manind
Uska Chehra Gulaab Likunga
Mai Us Se Judai Ka Sabab
Apni Kismat Kharab Likhunga
Zaheer Arshad
Copy
Khamoshi Se Bhikarna
Khamoshi Se Bhikarna Aa Gaya Hai
Hume Ab Khud Ujarna Aa Gaya Hai
Kisi Ko Bewafa Kehte Nahi Hein Hum
Hume Bhi Ab Badalna Aa Gaya
Kisi Ki Yaad Mein Rote Nahi Hum
Hume Chup Chap Jalna Aa Gaya Hai
Gulabon Ko Tum Apne Hi Rakho
Hume Kanton Pe Chalna Aa Gaya Hai
Zaheer Arshad
Copy
Meir Saadgi Mera Jurm Hai
Meir Saadgi Mera Jurm Hai
Yahan Chahton Ka Sila Nahi
Yahan Dosti Ka Maza Nahi
Yahan Janay Kaise Hawa Chali
Rahi Doston Mein Wafa Nahi
Yahan Jal Gaya Mera Aashian
Abhi Badlon Ka Pata Nahi
Tere Dar Pe Dastak De Sakon
Ye Haq Tum Ne Mujhe Dia Nahi
Zaheer Arshad
Copy
Kash Hum Samjh Letay
Kash Hum Samjh Letay
Manzilon Ki Chahat Main
Rasta Badlny Se
Fasla Nahi Ght’ta
Do Ghari Ki Qurbat Main
Char Pal Ki Chahat Main
Log, Log Rehty Hain
Kafila Nahi Banta
Hath Main Diya Le Kar
Hont Pe Dua Le Kar
Manzilon Ki Janib Ko
Chal B Dain Tu Kya Hoga
Khahishon K Jungle Main
Itni Bheer Hoti Hai
Kk Umer Ki Musafit Main
Rasta Nahi Milta
Kafila Nahi Milta
Hamsafar Nahi Milta
Shyad Kuch Nahi Milta
Zaheer
Copy
Mujhe Rona Nhi Aata
Suno!
Mujhe Rona Nhi Aata
Mujhe Khona Nhi Aata
K Tum Bin Jeena Mushkil Hai
Jo Dard Tum Dena Chahte Ho Mujhe Sehna Nhi Ata
Tum To Reh Lo Ge Saath Kisi Aur K Mgr
Main Kya Krun K Mujhe RASTA Badalna B Nhi Ata
Tum To Waaqif Ho Andaz.E.Guftugu K
Mujhe To Baat Krne Ka Salika B Nhi Ata
Tum To Jeet Jate Ho Larr Jhagar Kr B
Dekho Mujhe To Larna B Nhi Ata
Tum To Khush Reh Lo Ge Mere Bin
Dekho Tumhare Bin To Mujhe Jeena B Nhi Aata
Zaheer
Copy
Ek Din Mili Wo Mujh Sy
Ek Din Mili Wo Mujh Sy
Bujhi Bujhi Si
Jhuki Jhuki Si
Udasion Main Rachi Basi Si
Jo Main Ny Poocha
Udaas Kyun Ho?
Jhuka K Palkain
Chupa K Chehra
Lagi Wo Kehne
Udaasion Ka Sabab Tum Hi Ho
Mere Naseeb Main
Tum Nahi Ho
Zaheer
Copy
Mehfil Na Sahi Tanhai Tu Milti Hai
Mehfil Na Sahi Tanhai Tu Milti Hai
Milan Na Sahi Judai Tu Milti Hai
Kon Kehta Hy Muhabat Main Kuch Nahi Milta
Wafa Na Sahi Be Wafai Tu Milti Hay
Zaheer
Copy
Mujhe Deewana Samjhte Hein
Mujhe Deewana Samjhte Hein Tere Sheher Ke Log
Kiu Mere Daman Se Ulajhte Hein Tere Sheher Ke Log
Mein Gaya Waqt Hoon Wapis Nahi Anay Wala
Kiu Mera Rasta Takte Hein Tere Sheher Ke Log
Aur Kya Doon Mein Tujhe Apni Wafaaon Ka Saboot
Ab Mere Haal Per Hanste Jein Tere Sheher Ke Log
Mein To Toota Hua Patta Hoon Meri Baat Hai Kya
Phool Pairon Se Masalte Hein Tere Sheher Ke Log
Zaheer
Copy
Mai Or Meri Tanhai
Rehty Hain Sath Sath
Mai Or Meri Tanhai
Kartay Hain Raaz Ki Baat
Mai Or Meri Tanhai
Din Tou Guzar He Jata Hai Logon Ki Bheer Mai
Kartay Hain Basar Raat
Mai Or Meri Tanhai
Saanson Ka Kya Bharosa Kab Chor Jain Sath
Lakin Rahain Gai Sath Sath
Mai Or Meri Tanhai
Zaheer
Copy
Tum Dil Ki Baten Kya Samjo
Tum Dil Ki Baten Kya Samjo
Tum Dil Ka Lagana Kya Jano
Tum Aag Lagana Sekh Gaye
Tum Aag Bujhana Kya Jano
Ek Bar Agar Tum Roth Gaye
Hum Tumko Mana Hi Lengay
Mgr Ek Bar Agar Hum Roth Gaye
Tum Hum Ko Manana Kya Jano
Kuch Sath Chaly Kuch Chor Gaye
Wady Jo Kya Wo Tor Gaye
Zaheer
Copy
Kisi Ne Humy Kya Diya
Sitara Hamari Kismat Ka Us Se Mila Hi Nhi
Wo Kese Hota Humara Aisa Kabhi Howa Hi Nhi
Humne Apni Her Khushi Dosron Main Baant Di
Kisi Ne Humy Kya Diya Ye Socha Hi Nhi
Baton Baton Main Mohabbat Is Qadar Barh Gai
Tumhain Ab Bhool Jayain Kese Itna Hosla Hi Nhi
Har Kisi Nai Hamain Matlab Tak Pyar Kya
Koi Hamsafar Ban Kar Sath Chala Hi Nhi
Her Koi Mere Chahat Ko Mazak Samajhta Raha
Dil Mai Hai Dard Kitna Koi Samjha Hi Nhi
Zaheer
Copy
Jo Adhoori Reh Gayi Thi
Jo Adhoori Reh Gayi Thi Wo Kahani Sochna
Baith Kar Tanha Faqat Baatein Purani Sochna
Jab Kisi Sahil Pay Aa Jaye Meri Yaad Tumhain
Keyon Jaziron Ki Taraf Rehta Hai Paani Sochna
Tum Agar Bicharne Par Hi Khush Ho Tu Chalo Yun Hi Sahi
Baith Kar Tanha Faqat Shamein Sohani Sochna
Jab Kabhi Likhna Kahani Zeest K Mouzoo Pe Tum
Lafzon K Maa’eny Sochna
Zaheer
Copy
Mere Sabher Ka
Mere Saber Ka Na Le Imtehaan Tu
Meri Khamoshiyon Ko Sada Na De
Jo Tere Bagair Na Jee Sake
Usse Jeene Ki Dua Na De
Tu Aziz Dil O Nazar Se Hai
Tu Qareeb Rago Jaan Se Hai
Mere Jism O Jaan Ka Ye Fasla
Kahin Waqt Aur Barha Na De
Tujhe Bhool Ke Bhi Na Bhoola Sakon
Tujhe Chah Ke Bhi Na Pa Sakon
Meri Hasraton Ko Shumar De
Meri Chahaton Ka Sila Na De
Woh Tadap Jo Shola E Jaan Mein Thi
Mere Tan Badan Se Lipat Gai
Jo Bujha Sake To Bujha Isay
Na Bujha Sake To Hawa Na De
Zaheer
Copy
Benoor Aankhon Main
Koi Khuab To De
Meri Beqarar Raaton Ka Kuch Hisab To De
Tu Khafa Hai Mujhse Lekin Phir B Agar Ho Saky
Mere In Sawalon Ka Jawab To De
Humne Jis Main Likhe Thy Kuch Wady
Agar Mumkin Hai To Meri Woh Kitab To De
De Nahi Sakta Agar Pyar To Aisa Kar
Gham De, Zehar De, Ya Sharab To De
Jis Main Beh Jae Mere Dil Ki Dunya
Aisa Koi In Aankhon Main Selaab To De
Kabhi Tum Kaha Karte They K Aap Achy Hain
Ab Bura He Sahi Magar Koi Khitaab To De
Zaheer
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets