Add Poetry

Zakhm E Tanhai Main

Poet: Muzaffar Warsi By: Shahid Iqbal, lahore

Zakhm-E-Tanhai Main Khushbu-E-Hina Kis Ki Thi
Saya Diwar Pe Mera Tha Sada Kis Ki Thi

Uski Raftar Se Lipti Rahi Meri Ankhen
Us Ne Mur Kar Bhi Na Dekha K Wafa Kis Ki Thi

Waqt Ki Tarah Dabe Panw Ye Kaun Aya Hai
Main Andhera Jise Samjha Wo Qaba Kis Ki Thi

Ansuon Se Hi Sahi Bhar Gaya Daman Mera
Hath To Main Ne Uthaye The Dua Kis Ki Thi

Meri Ahon Ki Zaban Koi Samajhta Kaise
Zindagi Itni Dukhi Mere Siwa Kis Ki Thi

Ag Se Dosti Us Ki Thi Jala Ghar Mera
Di Gai Kis Ko Saza Aur Khata Kis Ki Thi

Main Ne Binaiyan Bo Kar Bhi Andhere Kate
Kis K Bas Main Thi Zamin Abr-O-Hawa Kis Ki Thi

Chor Di Kis Liye Tu Ne “Muzaffar” Duniya
Justaju Si Tujhe Har Waqt Bata Kis Ki Thi
 

Rate it:
Views: 2047
16 Aug, 2012
More Muzaffar Warsi Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets