Zamin Se Uthi Hai Ya Charkh Par Se Utri Hai
ye aag ishq ki yarab kidhar se utri hai
utarti najd mein kab thi sawari e laila
Tuk aah qais ke jazb e asar se utri hai
nahi nasim e bahaari ye hai pari koi
uran khatole ko thahra jo far se utri hai
na jaan is ko shab e mah ye chandni khanam
kamand e nur pe auj e qamar se utri hai
chalo na dekhen to kahte hain dasht e wahshat mein
junun ki fauj bare karr o farr se utri hai
nahin ye ishq tajalli hai haq taala ki
jo rah zina e baam e nazar se utri hai
libas e ah mein likhne ke waaste 'insha'
qalam dawat tujhe arsh par se utri hai