Add Poetry

Zindagi Ka Dard Lekar Inqalab Aaya To Kya

Poet: shakeel badayuni By: murtaza, khi

Zindagi Ka Dard Lekar Inqalab Aaya To Kya
Ek Joshida Pe Gurbat Mein Shabab Aaya To Kya

Ab To Aankhon Par Gam-E-Hasti Ke Parde Pad Gaye
Ab Koi Husn-E-Mujassim Benaqab Aaya To Kya

Khud Chale Aate To Shayad Baat Ban Jati Koi
Bad Tark-E-Ashiqi Khat Ka Jawab Aaya To Kya

Muddaton Bichde Rahe Phir Bhi Gale To Mil Liye
Hum Ko Sharm Aayi To Kya Un Ko Hijab Aaya To Kya

Ek Tajalli Se Munawwar Kijiye Qatl-E-Hayat
Har Tajalli Par Dil-E-Khanakharab Aaya To Kya

Matala-E-Hasti Ke Sazish Dekhte Hum Bhi ‘Shakil’
Hum Ko Jab Neend Aa Gayi Phir Mahatab Aaya To Kya
 

Rate it:
Views: 1325
22 Jan, 2016
More Shakeel Badayuni Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets