Add Poetry

Zindan Khul Gaya Hai Lyrics

Poet: Aasim By: Aasim, Faisalabad

Zindan Khul Gaya Hai Sakina Watan Chalo
Sajjad Keh Ke Gir Para Choti Si Qabr Par
Mazloom Aise Gir Para Turbat Pe Bhen Ki
Jaise Hussain Tha Gira Akbar Ki Lash Par

Dekho Nhi Rahi Mere Hathon Main Ab Rasan
Jane Laga Hai Qafila Ab Loat Kar Watan
Lekin Tu Bhen Shaam Main Qaidi He Reh Gayi
Kha Kar Tamache So Gayi Zindan Ki Khaak Par

Karta Hoon Yaad Ro Ke Main Manzar Wo Dard Ka
Kano Ke Zakhm Par Jo Tamacha Tujhe Laga
Baba Ko Tu Sina Pe Sada Deti Reh Gayi
Baba Sina Pe Rote Thy Tab Tujh Ko Dekh Kar

Amma Ki Tarhan Tujh Ko Na Mil Payi Thi Rida
Baba Ki Tarhan Tujh Ko Kafan Bhi Na Mil Saka
Pathar Bhi Khaye Shaam Main Tu Ne Meri Tarhan
Naqqe Se Gir Ke Hogayi Teri Bhi Kham Kamar

Main Le Ke Tujh Ko Sham Se Wapis Na Ja Saka
Baba Ko Kya Bataon Main Ab Ja Ke Karbala
Kurtay Main Dafn Kar Ke Banayi Teri Lehad
Abid Ko Khoon Rulaye Ga Ye Dard Umr Bhar

Karbal Main Chin Gayi Thi Tere Sar Se Jo Rida
Wapas Main La Chuka Hoon Usay Dekh Tou Zara
Sar Par Main Tere Rakhta Rida Apne Hath Se
Afsos Haye Sham Mein Tu Na Rahi Magar

Amma Ke Bain Sun Ke Nikalti Hai Jaan Meri
Kehti Hai Umr Bhar Na Wo Saye Main Jaye Gi
Kaise Uthaon Ujari Hui Maa Ko Tu Bata
Teri Lehad Se Maa Ki Bhi Hat Ti Nahi Nazar

Wo Rukhsat E Hussain Pe Zainab Ka Imtehaan
Aisa He Aaj Phir Se Hai Zindan Ka Samaa
Sajjad Ho Raha Hai Juda Aise Behan Se
Uthte Hai Ro Ke Qabr Se Girte Hai Qabr Par

Likhun Sahab Kis Tarhan Mehshar Ka Marhala
Tha Gham Ki Inteha Pe Bhi Abid Ka Hosla
Zinda Behan Ki Qabr Se Uth Kar Chala Gaya
Ahwal E Gham Sunane Ko Baba Ki Qabr Par

Rate it:
Views: 133
06 Aug, 2025
Related Tags on Islamic Poetry
Load More Tags
More Islamic Poetry
Kya Tum Mere Hussain Ho Lyrics Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain ho
Kaise pade hai jism ke
Tukde juda juda
Kya tum mere Hussain ho
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain ho
Kaise pade hai jism ke
Tukde juda juda
Kya tum mere Hussain ho
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain ho
Haye haye mere ghareeb ka
Kya haal kar diya
Ghodo'n se lasha dasht mein
Pamaal kar diya
Pehchanu kis tarah se, Badan se hai sar juda
Kya tum mere Hussain hoHussaini merchandise
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain ho
Pehchan lun gi mai tumhe
Awaaz mujh ko do
Dam todte jo dekha hai
Kadyal jawaan ko
Ankhon mai ab behen ki, Ujala nahi raha
Kya tum mere Hussain ho
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain ho
Pehchanna tumhare liye
bhi Kathan howa
Dekha hai pehli baar jo
Zainab ko berida
Aati hai sharm jald, Bata do mujhe zara
Kya tum mere Hussain ho
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain hoHussaini merchandise
Karta raha hai zibha ki
Koshish kaha'n kaha'n
Khanjar pe hai kati hui
Gardan pe bhi nisha'n
Kaata hai kis tarah se
Sitamgaar ne galaa
Kya tum mere Hussain ho
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain ho
Kya le gaye hai loot ke
Sab kuch ye ashqiya'n
Tan par bacha hai maa ka ye
Kurta sila hua
Nikle the jab khayam se
Ye haal to na tha
Kya tum mere Hussain ho
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain ho
Ahista se jawab do
Hai sath us ke maa
Kya ab tumhare paas hai
Masoom be zuba'n
Nanha sa lasha kis ka ye
Seene pe hai rakha
Kiya tum mere Hussain hoHussaini merchandise
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain ho
Dekho bandhi hai hatho'n mein
Mere bhi rassiya
Ab aur lo behen ki na
Ghurbat ka imteha'n
Kuch to jawab do mujhe
Sughra ka wasta
Kya tum mere Hussain ho
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain ho
Woh bhi tumhare tarha se
Zakhmi na ho kahi'n
Dil ko mere ye lagta hai
Maujood hai yahi'n
Aati hai maa ke rone ki
Nazdeek se sada
Kya tum mere Hussain ho
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain hoHussaini merchandise
Zainab pukari Mir takallum basad malaal
Kya marte waqt bhi mere
Parde ka tha khayal
Hai muthiyo'n mein kis liye
Yeh khaak e karbala
Kya tum mere Hussain ho
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain ho
Mubeen
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets