Zulf Ko Tha Kayal Bose Ka
khat ne likkha sawal bose ka
dohre patton ke zer e saya hua
sab qalam-band haal bose ka
chashmak e khal e rukh ne saf kaha
hai tabassum maal bose ka
sabza e nau-damida ne mara
gird e rukhsar jal bose ka
rah gaya tere mukhde par baqi
ab makan khal khal bose ka
ho ghazab apne baal noch liye
hai ye sara wabaal bose ka
tere ghusse se ab koi "insha"
chhodta hai khayal bose ka