Nisf Sadi Hone Ko Aaei
Mera Ghar Aur Meri Basti
Zulm Ki Aag Mein Jal Jal Rakh Mein Dhalte Hain
Mere Log,Mere Bache
Khuwabon Aur Sarabon Ke Ik Jaal Mein Uljhe
Kat'te Marte Jate Hain
Charon Janib Lahoo Ki Daldal Hai
Gali Gali Tazeer Ke Pehre,Koocha Koocha Maqtal Hai
Aur Yeh Dunya
Aalamgeer Akhuwat Ki Taqdees Ki Pehredar Yeh Dunya
Hum Ko Jalte,Kat'te,Marte
Dekhti Hai Aur Chup Rehti Hai
Zor Aawar Ke Zulm Ka Saya Pal Pal Lamba Hota Hai
Wadi Ki Har Sham Ka Chehra Khoon Mein Lithra Hota Hai
Lekin Yeh Jo Khoon-E-Shaheedan Ki Shamen Hain
Jab Tak In Ki Loien Salamat
Jab Tak In Ki Aag Farozan
Dard Ki Aakhri Had Pe Bhi Yeh Dil Ko Sahara Hota Hai
Har Ik Kali Raat Ke Peeche Ek Sawera Hota Hai