Badi Mohabbat Thi , Badi Mohabbat Hai

PoetAyesha Arshad Khokhar Submitted byAyesha Arshad Khokhar
Text size

Kabhi Tum Se Do Ghadi Bat Ho Jaye
Badi Hasrat Thi, Badi Hasrat Hai

Wo Ik Nazar Jo Hum Padi Thi Kabhi
Badi Inaayat Thi , Badi Inaayat Hai

Choti C Bat Ka Yun Bura Na Manaya Hota
Badi Shikayat Thi, Badi Shikayat Hai

Yun Hum Se Be Rukhi Ki Tumhen
Hmesha Ijazat Thi, Hmesha Ijazat Hai

Qismat Bhi Achi Hai Mgr Zamanay Ko Hum Se
Badi Adaawat Thi ,Badi Adaawat Hai

Bus Ik Bat Jo Keh Na Skay Tum Se
Badi Mohabbat Thi, Badi Mohabbat Hai

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied