Hijar K Mausam Main Yeh Barish Ka Barasna Kaisa

PoetUnknown Submitted byAshi
Text size

Hijar K Mausam Main Yeh Barish Ka Barasna Kaisa
Ek Sehra Se Samander Ka Guzarna Kaisa

Ae Meray Dil Na Praishan Ho Tanha Ho Kar
Woh Teray Sath Chala Hi Kab Tha Bicharna Kaisa

Log Kehtay Hain Gulshan Ki Tabahi Daikho
Main To Viran Sa Jungle Tha Ujarna Kaisa

Dekhnay Main Koi Dard Nahi Dukh Bhi Nahi
Phir Ankhon Se Yun Ashkon Ka Ubharna Kaisa

Bewafa Kehnay Ki Jurrat Bhi Na Karna Us Ko
Us Ne Iqrar Hi Kab Kia Tha Mukarna Kaisa

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied