Add Poetry

Ek Soch Aqal Se Phisal Gai

Poet: Yousuf Bashir Qureshi By: Sahir, Lahore

Ek Soch Aqal Se Phisal Gai
Mujhy Yaad Thi Kay Badal Gai

Meri Soch Thi Kay Wo Khawab Tha
Meri Zindgi Ka Hisab Tha

Meri Justajo Kay Baraks Thi
Meri Mushkilo Ka Wo Aks Thi

Mujhy Yad Ho To Wo Soch Thi
Jo Na Ya Ho To Wo Guman Tha

Mujhy Bethay Bethay Guman Howa
Gumaan Nahi Tha Khuda Tha Wo

Wo Khuda Kay Jis Ney Zuban Di
Mujhy Dil Diya Mujhy Jaan Di

Wo Zubaan Jisay Na Chala Sako
Wo Dil Jisay Na Mana Sako
Wo Chaah Jisay Na Lga Sako

Kabhi Mil To Tujh Ko Btaye Ham
Tujhy Es Tarha Se Staye Ham

Tera ishq Tujh Se He Cheen Kar
Tujhy Maa Pila Kay Rulaye Ham

Tujhy Dard Doo Tu Naa Seh Sakay
Tujhy Doo Zubaan Tu Na Keh Sake
Tujhy Doo Makaan Tu Naa Reh Sake

Tujhy Mushkilo Mein Ghiraa Kay
Mein Aisa Rasta Nikal Doo

Tere Dard Ki Mein Dawa Kro
Kisi Garz Kay Mein Siwa Kro

Tujhy Har Nazar Pey Aboor Doo
Tujhy Zindgi Ka Shaoor Doo

Kabhi Mil Bhi Jaye Gay Gam Naa Kar
Ham Gir Bhi Jaye Gay Gam Na Kar

Tere Ek Hone Mein Shaq Nahi
Meri Neyatoon Ko Tu Saaf Kar

Teri Shaan Mein Bhi Kami Nahi
Mere Es Kalaam Ko Maaf Kar

Rate it:
Views: 3409
27 Oct, 2021
More Yousuf Bashir Qureshi Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets