Add Poetry

Koi Ummid Bar Nahin Aati

Poet: MIRZA GHALIB By: Khawaja Mussadiq Rafiq, Karachi

Koi Ummid Bar Nahin Aati
Koi Surat Nazar Nahin Aati

Maut Ka Ek Din Muayyan Hai
Niind Kyuun Raat Bhar Nahin Aati

Aage Aati Thi Hal-E-Dil Pe Hansi
Ab Kisi Baat Par Nahin Aati

Janta Huun Savab-E-Ta.At-O-Zohd
Par Tabi.At Idhar Nahin Aati

Hai Kuchh Aisi Hi Baat Jo Chup Huun
Varna Kya Baat Kar Nahin Aati

Kyuun Na Chiḳhun Ki Yaad Karte Hain
Meri Avaz Gar Nahin Aati

Dagh-E-Dil Gar Nazar Nahin Aata
Bu Bhi Ai Charagar Nahin Aati

Ham Vahan Hain Jahan Se Ham Ko Bhi
Kuchh Hamari ḳhabar Nahin Aati

Marte Hain Aarzu Men Marne Ki
Maut Aati Hai Par Nahin Aati

Kaaba Kis Munh Se Jaoge 'Ġhalib'
Sharm Tum Ko Magar Nahin Aati

 

Rate it:
Views: 1417
18 Sep, 2019
Related Tags on Mirza Ghalib Poetry
Load More Tags
More Mirza Ghalib Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets