Add Poetry

Tu Thehar Yahan Ham Rukh-e-Hayat Daikh K Aaty Hain

Poet: Ahsin Fayaz By: Ahsin Fayaz, Badin

Tu Thehar Yahan Ham Rukh-e-Hayat Daikh K Aaty Hain
Is Basti Mein Do Pal Ka Basera Kr K Chaly Jaaty Hain

Meri Zeesat K Aangan Mein Zakhamon K Siwa Kuch Nahin
Sitam-Zareef Hokar Zakham Ek Nai Subah Laaty Hain

Zard Patton Ki Haqeeqat Shajar Ka Shor Hai Kahani
Jin K Daman Hain Khali Wo Bhi To Khaaty Hain

Adawat-e-Dil Tilsam-e-Shab Surakh Hont Zrd Chehry
Ke Jo Hon Ishaq K Maare Oron Ko Bhi Rulaaty Hain

Chokhat Pe Dard Ki Parh Lyein Khushi Ki Fatih Ae Dil
Phir Baith K Sukoon Se Naghma-e-Dard Gaaty Hain

Chalo Ham Bhi Jaan Lety Hain Jalny Ka Taslsal
Ek Cigret Peety Hain Ahsin Ik Cigret Jalaaty Hain

Rate it:
Views: 503
07 Jan, 2019
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets