Add Poetry

Aaj Pher Dil E Khizaan Pay Bahaar Chaey Hai,

Poet: kamran bashir bhatti hamzaad By: kamran bashir, sanghar

Aaj Pher Dil E Khizaan Pay Bahaar Chaey Hai
Dil Mein Pher Say Muhabat Ki Kali Muskaai Hai

Yeh Jo Muskaate Hain Ab Wo Baat Baat Par
Chot Unhon Ne Bhe Zoron Ki Aaj Khaai Hai

Wo Jo Baat Karte The Ik Ashyana Banaain Gain
Aaj Unhe Ny Basti Mere Dil Ki Jalaaiey Hai

Qudrat Bhe Mujhay Aaj Kis Mor Par Ly Aai Hai
Wafa Karne Ko Mere Saamne Pher Se Bewafai Hai

Wo Aaj Bhe Kisi Begunah Maut K Qaidi Ki Tarhan
Khaak Ban K Mere Pairon Ki Wo Mujhse Lipat Aai Hai

Kahan Badalte Hain Ulfat Karne Walon K Andaz Kabhe
Yeh To Faqat Waqt Hai Jo Karta Bewafai Hai

Yeh Jo Bina Soche He Apne Ilzam Laga Dete Hen
Yeh To Sharif Logon Ki Hoti Jag Hasaai Hai

Bhula K Shekway Gely Aaj Pherse Ik Bar Humne
Apni Bichri Hui Muhabat Aaj Pherse Galay Lagai Hai

Aaj Wo Bhe Kisi Sundar Se Khanakte Karay Ki Maanind
Muskaan Uski Fizaaon Mein Guunj Aai Hai

Nahe Aasaan Kisi Ka Youn Pyar Mein Laut Kar Aana "KAMRAN"
Hamain To Faqat Ulfat Teri Kheench Laaiey Hai

Rate it:
Views: 620
04 Oct, 2017
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets