chand tuuta pighal gae taare
qatra qatra tapak rahi hai raat
palken ankhon pe jhukti aati hain
ankhdiyon men khatak rahi hai raat
aaj chhedo na koi afsana
aaj ki raat ham ko sone do
khulte jaate hain simte-sukde jaal
ghulte jaate hain khuun men badal
apne gulnar pankh phailae
aa rahe hain isi taraf jangal
gul karo shama, rakh do paimana
aaj ki raat ham ko sone do
shaam se pahle mar chuka tha shahr
kaun darvaza khatkhatata hai
aur unchi karo ye divaren
shor angan men aaya jaata hai
kah do hai aaj band mai-khana
aaj ki raat ham ko sone do
jism hi jism hain, kafan hi kafan
baat sunte na sar jhukate hain
amn ki khair, kotval ki khair
murde qabron se nikle aate hain
koi apna na koi begana
aaj ki raat ham ko sone do
koi kahta thaa, thiik kahta tha
sar-kashi ban gai hai sab ka shiar
qatl par jin ko e’tiraz na tha
dafn hone ko kyuun nahin tayyar
hosh-mandi hai aaj so jaana
aaj ki raat ham ko sone do