Add Poetry

AARZU - Haseen Raat

Poet: Fayaz Mohammed (Shakir) By: Fayaz Mohammed, Mumbai

Shab-e-Waqt Ki Likhi Hui Raushan Ghazal Chahta Hoo’n
Aasma’n Ke Sitaro’n Si Ek Nazm Chahta Hoo’n

Raahat Jo Mil Jaye Zulfo’n Ke Saaye Mein
Tumhari Aagosh Mein Aane Ki Ijazat Chahta Hoo’n

Surkh Aanchal Ko Hata Do Apne Haseen Chehre Se
Chaudvi’n Ke Chand Ka Deedar Chahta Hoo’n

Dar Pe Baithe They Ummid Se Haat Phailaye Huey
Apni Duaon Ko Rab Tak Pohchana Chahta Hoo’n

Raatein Guzarti Hain Har Pal Aapke Tasawur Mein
Andhere Se Ujale Ki Taraf Badhna Chahta Hoo’n

Kyun Aankhen Talash Karti Hain Neend Ko Saari Raat
Khayalo’n Mein Aaye Faslo’n Ko Ghatana Chahta Hoo’n

Gaisuo’n Ki Badli Chat Jaye Gar Mere Liye
Reshmi Taaro’n Ko Yun Hi Sehlana Chahta Hoo’n

Yun Bandishe’n Na Lagao Apne Hi Humsafar Per
Chirag-e-Ulfat Ki Raushni Mein Izafa Chahta Hoo’n

Labo’n Ko Zehmat Na Do, Aankhen To Keh Rahi Hain
Dil Ki Baato’n Ko Nazro’n Se Poochna Chahta Hoo’n

Haseen Raat Ji Aarzu Ko Yun Tohmat Na Do
Safar-e-Zindagi Pehlu Mein Guzarna Chahta Hoo’n

Dil-e-Shakir Se Poochye Kya Chiz Ho Tum
Kanto’n Mein Khiley Gulab Ki Pankhdi Chahta Hoo’n

Rate it:
Views: 273
04 Jul, 2014
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets