Ab Ke Rut Badli To Khushbu Ka Safar Dekhe Ga Kon.

Poet Submitted byRainy Eyes
Text size

Ab Ke Rut Badli To Khushbu Ka Safar Dekhe Ga Kon
Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkein Ge Par Dekhe Ga Kon

Dekhna Sab Raqs_E_Bismil Mein Magan Ho Jain Ge
Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udhar Dekhe Ga Kon

Zakham Jitne Bhi Thay Sab Mansoob Qatil Se Huwe
Tere Hathon Ke Nishan Aye Charahgar Dekhe Ga Kon

Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai
Log To Phal Phool Dekhain Ge Shajar Dekhe Ga Kon

Har Koi Apni Hawa Mein Mast Phirta Hai
Shehr_E_Na_Pursan Mein Teri Chashm_E_Tar Dekhe Ga Kon

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied