Jo Zaahir Hota Hai Wo Baatin Nahi Hota
Har Hansta Hua Chehra Kabhi Khush Nahi Hota
Aansu Chalakte Hain Jab Kabhi Bhi Aankhon Se
Yu Dil Pe Laga Har Zakhm Achcha Nahi Hota
Gham Ke Samandar Se Khushyon Ke Motee kaise Paoge
Yu Saahil Per Baithe Intezaar Achcha Nahi Hota
Daaman Pasarey Baithe They Rishto’n Ki Dehleez per
Yu Faqat Apno Se Har Shai Ka sauda Achcha Nahi Hota
Parindo’n Mein Parwaaz Ki Talab Aksar Hoti Hai
Yu Mausam Be-mizaaj Ho To Udna Achcha Nahi Hota
Silwate’n Bhi Chubhti Hain Neend Ki Gehrayo’n Mein
Yu Be-matlab Raato’n Ko Jagana Achcha Nahi Hota
Nigaho’n Mein Faasle Hain Lekin Tasawur Mein Aapke Qareeb Hoon
Yu Pas-e-Parda Reh Kar Shikwa Karna Achcha Nahi Hota
Haathon Se Phisalti Rait Ke Zarro’n Mein sabaq Hota Hai
Yu Turbat Pe Baithe Aansu Bahana Achcha Nahi Hota
Andhere Mein Saath Chodh De, Wo Saaya Nahi
Yu Raato’n Mein Shakir Ko Aazmana Achcha Nahi Hota
Aayenge Laut Ke Ek Din Aap Hi Ke Dehleez Per
Yu Be-rukhi Se Tohmat Lagana Achcha Nahi Hota