Aise Bhi Kai Rang Dikhati Hai Zindagi

PoetShamsul "ShamS" Submitted byShamsul Hasan
Text size

Aise Bhi Kai Rang Dikhati Hai Zindagi
Phir Uski Mujhko Yaad Dilati Hai Zindagi

Sham-O-Shahar Sukoon Ki Chahat Liye Huae
Thak Haar Ke Mere Hi Paas Aati Hai Zindagi

Badla Meri Wafaon Ka Mujhko Nahi Mila
Kyun Baar Baar Ye Sawal Uthati Hai Zindagi

Kyun Mere Haq Mai Koi Bhi Karta Nahi Dua
Ro Roke Mot Ko Gale Lagati Hai Zindagi

Ae "Shams" Apna Haal E Dil Kehna Fuzool Hai
Kab Umar Bhar Ka Saath Nibhati Hai Zindagi.
 

Related tags on Parveen Shakir poetry

More Life Poetry

Copied