Add Poetry

Ajnabi

Poet: Kaifi Azmi By: Asif, Abbottabad

ai hama-rang hama-nur hama-soz-o-gudaz
bazm-e-mahtab se aane ki zarurat kya thi

tu jahan thi usi jannat men nikharta tira ruup
is jahannam ko basane ki zarurat kya thi

ye khad-o-khal ye khvabon se tarasha hua jism
aur dil jis pe khad-o-khal ki narmi bhi nisar

khaar hi khaar sharare hi sharare hain yahan
aur tham tham ke utha paanv baharon ki bahar

tishnagi zahr bhi pi jaati hai amrit ki tarah
jaane kis jaam pe ruk jaae nigah-e-maasum

dubte dekha hai jin ankhon men mai-khana bhi
pyaas un ankhon ki bujhe ya na bujhe kya maalum

hain sabhi husn-parast ahl-e-nazar sahib-e-dil
koi ghar men koi mahfil men sajaega tujhe

tu faqat jism nahin sher bhi hai giit bhi hai
kaun ashkon ki ghani chhanv men gaega tujhe

tujh se ik dard ka rishta bhi hai bas pyaar nahin
apne anchal pe mujhe ashk baha lene de

tu jahan jaati hai jaa, rokne vaala main kaun
apne raste men magar shama jala lene de

Rate it:
Views: 877
23 Dec, 2020
Related Tags on Kaifi Azmi Poetry
Load More Tags
More Kaifi Azmi Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets