Ishq Ek Aasmaan Hai Pyaare
Apni Apni Uraan Hai Pyaare
Husun To Dunya dari Sekh Gayaa
Ishq Ab Tak Pathaan Hai Pyaare
Urdu Ke Chand Lafz Hain Jab Se Zaban Par
Tehzeeb Meherban Hai Mere Khandan Par
Dar-Badar Kyun Bhataktaa Hai Aakhir
Chand Bhi Kya Koi Bhikari Hai
Faqat Nazar Se Nazar Mili Hai Zaban Se Kuch Bhi Kaha Nahin Hai
Badan Men Kyun Kaundhti Hai Bijli Abhi To Usne Chua Nahin Hai
Khushk Aankhen Ho Gain Gham Bhi Puraane Ho Gaye
Aa Tujhe Dekhe Hue Kitne Zamaane Ho Gaye
Woh Shakhs Jis-Se Ruth Ke Tanhaa Bohut Hue
Uskii Gali Ki Khaak Uraane Ko Ji Kare
Bujhne Lagi Hai Shaam Andheron Ki God Men
Har Simt Ek Aag Lagaane Ko Ji Kare
Fikri Yeh Ikhtesaar To Be-Lutf Saa Rahaa
Qissa Koi Tavil Sunaane Ko Ji Kare