✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Arslan Aslam
Search
Add Poetry
Poetries by Arslan Aslam
Udaasiyon Ka Hunar Ikhtiyaar Karte Hain
Udaasiyon Ka Hunar Ikhtiyaar Karte Hain
Khushi Ko Zard Ruton Main Shumaar Karte Hain
Tum Aao Dekho Saraaho Koi To Baat Karo
Tumhare Vaaste Solah Singhaar Karte Hain
Gulaab Le Ke Seeney Main Jo Kaante Sompey
Hum Is Tarah Ka Bhala Karobaar Karte Hain ?
Faqat Wisaal Ko Kehte Hain Zindagi Hum Log
Firaaq Ke Kahan Lamhe Shumaar Karte Hain
Nishaane Un Ke Kabi Chonkte Nahin Dekhe
Bohat Qareeb Se Jo Log Waar Karte Hain
Yeh Mausmon Se Shikayat Kyun Hai Hum Ko
Yeh Zikar Kis Ka Bhala Baar Baar Karte Hain
Yeh Chaand Shab Se Sehar Tak Kis Ka Hai Matlashi
Sitaarey Yoon Kis Ka Intizaar Karte Hain
Arslan Aslam
Copy
Apni Palkain Woh Band Rakhta Hai
Apni Palkain Woh Band Rakhta Hai
Jaane Kesi Pasand Rakhta Hai
Khud Ko Kehta Hai Aasmaan Paima’n
Itni Oonchi Kamand Rakhta Hai
Maara Jaye Ga Dekhna Aik Din
Kyun Dil-E-Dardmand Rakhta Hai
Sath Wale Khafaa Khataa Yeh Hai
Kyun Iraadey Buland Rakhta Hai
Dhoop Se Saamna Na Ho Jaye
Ghar Ke Darwaze Band Rakhta Hai
Arslan Aslam
Copy
Aankhon Se Mere Is Liye Laali Nahin Jati
Aankhon Se Mere Is Liye Laali Nahin Jati
Yaadon Se Koi Raat Jo Khaali Nahin Jati
Ab Umar Na Mausam Na Woh Raste Ke Woh Paltte
Iss Dil Ki Magar Khaam Khayali Nahin Jati
Magar Tu Agar Jaan Bhi To Hanss Ke Tujhe De Dein
Teri To Koi Baat Bhi Ttaali Nahin Jati
Aaye Koi Aa Ke Yeh Tere Dard Sambhaale
Hum Se To Yeh Jageer Sambhaali Nahin Jati
Maloom Humain Bhi Hain Bohat Se Tere Qisse
Yeh Baat Teri Hum Se To Uchaali Nahin Jati
Humraah Teri Phool Khilaati Jo Dil Main
Ab Shaam Wohi Dard Se Khaali Nahin Jati
Hum Jaan Se Jaayen Ge Tabhi Baat Bane Gi
Tum Se To Koi Raah Nikaali Nahin Jati
Arslan Aslam
Copy
Rahon Pe Nazar Rakhna Honton Pe Dua Rakhna
Rahon Pe Nazar Rakhna Honton Pe Dua Rakhna
Aa Jaye Koi Shayed Darwaza Khula Rakhna
Ehsaas Ki Shamaa Ko Is Tarah Jalaa Rakhna
Apni Bhi Khabar Rakhna Us Ka Bhi Pata Rakhna
Raaton Ko Bhatakne Ki Deta Hai Saza Mujhe
Dushwaar Hai Pehlu Main Dil Tere Bina Rakhna
Logon Ko Nigaahon Se Parh Lene Ki Aadat Hai
Logon Ki Tehreeron Ko Logon Se Bacha Rakhna
Bholoon Main Agar Aye Dil Tu Yaad Dila Dena
Tanhai Ke Lamhon Ka Har Zakham Haraa Rakhna
Ik Boond Bhi Ashkon Ki Daaman Na Bhigo Paaye
Gham Uss Ki Amaanat Hai Palkon Pe Sajaa Rakhna
Iss Tarah Qateel Us Se Bartaao Rahe Apna
Woh Bhi Na Bura Maane Dil Ka Bhi Kahaa Rakhna
Arslan Aslam
Copy
Na Tum Nikle, Na Ham Nikle
Fiqat Batain Andheron Ki Mehaz Qisay Ujalon Ke
Chiragh-e Aarzoo Le Kar Na Tum Nikle, Na Ham Nikle
Arslan Aslam
Copy
Suna Hai Eid Ai Hy
Usy Kehna K Loat Aoo Suna Hai Eid Aai Hai
Aik Bar To Aa K Mill Jao Suna Hai Eid Aai Hai
Usy Khna Bin Tery Boht Eiden Guzari Han
Is Bar To Milny ajao Suna Hai Eid Aai Hai
Usy Khna Judai Sy Muhabbat Kam Nahe Hoti
Ye Donia Ko Batla Jao Suna Hai Eid Aai Hai
Usy Khna K chaHat Ka BhaRam Na Totny Daina
Tum Pal Do Pal He ajao Suna Hai Eid Aai Hai
Usy Kehna Tanha Hai Koi Eid K din B
Ye Tanhai Mitta Jao Suna Hai Eid Aai Hai
Arslan Aslam
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets