Add Poetry

ASHK - Behti Aankhen

Poet: Fayaz Mohammed (Shakir) By: Fayaz Mohammed , Mumbai

Sadya’n Guzaardi Insa’n Ne Insa’n Banne Ke Liye
Nafrat Ki Talvar Hi Kaafi Thi Shaita’n Banne Ke Liye

Sukhe Patto’n Ki Qismat Mein Bahare’n Nahi Hoti
Sharm Aati Hai Usey Kyun Gulista’n Banne Ke Liye

Khwabo’n Se Banaye Aashya’n Haqeeqat Mein Bikhar Gaye
Umr Guzaardi Kanto’n Mein Zinda Rehne Ke Liye

Rooh Ko Cheer De, Wo Chikhe’n Suni Apno Ki
Dil Ki Khushya’n Chakna-Choor Hui, Ek Tabassum Ke Liye

Apno Ki Laashe’n Kaandho’n Per Achanak Yu Aa gayee
Baazar-e-Waihshat Mein Sauda Hua Kayi Turbat Ke Liye

Shaano Per Sar Rakh Kar Behti Aankho’n Ko Dekha Hai
Ashko’n Se Qimat Ada Ki Khushyo’n Ko Paane Ke Liye

Dehshat Ke Baadal Chaye They Be-Khauf Aasma’n Per
Phir Kyun Lahoo Ki Barsat Hui, Ehl-e-Chaman Ke Liye

Zindagi Ko Dekho Maut Ki Aaghosh Mein Fana Ho Gayee
Apne Hi Zakhm La-ilaaj Huey Ek Marham Ke Liye

Saahil Per Baithe they Ek Nayee Saher Ki Ummid Mein
Kyun Khwabo’n Ka Suraj Tulu Na Hua Is Shaher Ke Liye

Hota Hai Fasaad Barpa Siyasi Shaitano Se
Tashaddud Ki Boo Phailayee Fiza Mein Ek Takht Ke Liye

Shab-o-Roz Duayen Takrati Hain Aasma’n Ke Pardo’n Se
Khushnuma Honge Mausam Ek Din Shakir-e-Watan Ke Liye

Rate it:
Views: 487
04 Jul, 2014
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets