ik yahi soz-e-nihan kul mira sarmaya hai
dosto main kise ye soz-e-nihan nazr karun
koi qatil sar-e-maqtal nazar aata hi nahin
kis ko dil nazr karun aur kise jaan nazr karun
tum bhi mahbub mire, tum bhi ho dildar mire
ashna mujh se magar tum bhi nahin, tum bhi nahin
khatm hai tum pe masiha-nafasi, charagari
mahram-e-dard-e-jigar tum bhi nahin tum bhi nahin
apni laash aap uthana koi asan nahin
dast-o-bazu mire nakara hue jaate hain
jin se har daur men chamki hai tumhari dahliz
aaj sajde vahi avara hue jaate hain
dard-e-manzil thii, magar aisi bhi kuchh duur na thi
le ke phirti rahi raste hi men vahshat mujh ko
ek zakhm aisa na khaya ki bahar aa jaati
daar tak le ke gaya shauq-e-shahadat mujh ko
raah men tuut gae paanv to maalum hua
juz mire aur mira rah-numa koi nahin
ek ke baad khuda ek chala aata tha
kah diya aql ne tang aa ke khuda koi nahin