Aye Tasveer Kuch To Bol, Aakhir Kyun Khamosh Hai
De Harkart Apne Labo’n Ko, Mera Dil Behosh Hai
Nazre’n Itezaar Kar Rahi Hain Khwabo’n Ki Dehleez Per
Khwabo’n Ke Sirtarey Bhi Ye Dekh Kar Madhosh Hai
Mahek Aati Hai Mujhe Tere Aanchal Ke Goshey Se
Aaj Kyun Aysa Laga Ke Saanso’n Mein Taazgi Hai
Qareeb Se Jab Dekha Tere Hasee’n Chehre ko
Meri Siyah Zindagi Mein, Ek Ajeeb Si Raushni Hai
Saanse’n Tham Si Gayee Hain, Chu Ke Teri Tasveer Ko
Ungliyo’n Ne Mehsoos Kiya, Surkh Labo’n Mein Hararat Hai
Khwabo’n Ko Haqeeat Banakr Jab Kabhi Sochta Hoon
Kis Khaak Se Taamir Hua Ye Hasee’n Taj Mahel Hai
Kab Hogi Mukammal Aarzoo, Aye Bechain Dil Mere
Ab Dekhna Ye Hai, Us Munsif Ka Faisla Kya Hai
Ghazal Kehna Kisi Husn Per Aasa’n Nahi Hai Shakir
Fikree Samadar Se Lafzon Ke Motee Chunna Hai