Add Poetry

Be-Aabroo Hone Lagi Hain Aaj Betiyaan

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Be-Aabroo Hone Lagi Hain Aaj Betiyaan
Kal Tak Thi Jo Sar Ka Taaj Betiyaan

Wehsat Bhare Jahan Mai Ijzat Sambhalna
Ho Gaya Dushwaar Q Beti Ko Paalna

Hai Khouf
Dil Dehal Raha Hai Dekh Kar Manzar
Ladki K Liye Ho Gayi Har Aankh Q Khanzar

Sikha To Nahi Kabhi Ijzat Uchalna
To Phir Hain Q Aaj Sharm-Saar Betiyaan

Be-Aabroo Hone Lagi Hain Aaj Betiyaan
Kal Tak Thi Jo Sar Ka Taaj Betiyaan

Din Ko Ho Ujala Ya Ho Raat Ka Pehra
Lagta Hai Ab To Darr K Ye Hai Kaisa Andhera

Na Jaane Kis Gali Mai Ho Khoufnaak Hawaaein
Shataan Se Bhi Badtar Hai Insaan Ki Nighahein

Iss Rang Badalte Waqt Ka Kon Sa Rang Hai
Kyun Ban Rahi Hain Khokla Samaaj Betiyaan

Be-Aabroo Hone Lagi Hain Aaj Betiyaan
Kal Tak Thi Jo Sar Ka Taaj Betiyaan

Aawaaj Ab Buland Karne Ka Waqt Hai
Darr Liye Bohat Ab Na Darrne Ka Waqt Hai

Mil Julkar Iss Waqt Ka Hai Rukh Badalna
Lo Ab Ye Kasam Humko Hai Saath Mai Chalna

Neelaam Ho Gayi Hai Ijzat Idhar Udhar
Karna Hai Humko Phir Naya Aaghaaz Betiyaan.

Be-Aabroo Hone Lagi Hain Aaj Betiyaan
Kal Tak Thi Jo Sar Ka Taaj Betiyaan

Be-Aabroo Hone Lagi Hain Aaj Betiyaan
Kal Tak Thi Jo Sar Ka Taaj Betiyaan.
 

Rate it:
Views: 458
08 Aug, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets