Add Poetry

Be Wafa Kaun...........Bato Ae Zamane Waalon

Poet: WAMIQ SAOOD KHAN ALIG By: WAMIQ SAOOD KHAN ALIG, MUMBAI

Be Wafa Kaun??
Jo Nibhata Raha Dastur Yahan
Jisne Ki Uske Gamon Me Shirqat Aakar
Jisne Har Lamha Use Yaad Kia
Apna Har Khwab Sajoya To Uske Khaatir
Khud Ki Pahchan Bhula Di Ki Use Sab Pahchane
Jisne Dhadkan Pe Uski Jan Nisar Kia
Jisne Khud Ki Zindagi Dushwar Kia
Jisne Aabad Kiye Uske Har Ek Jazbon Ko
Jisne Brbad Kiye Apne Sare Khwabon Ko
Ya Phir Wo Hai Be Wafa Ki Jisne
Sath Chhoda Tabhi Jab Jan Gai Ki Wo Ab
Rah Nahi Payega Dunya Me Muhabbat Se Kabhi
Jo Ki Ab Toot Gaya Mere Sawalon K Liye
Jisne Bechi Hai Zamir Mere Khyalon Ke Liye
Faisla Saaf Hai Lekin Kyun Mujhe Lagta Hai
Be Wafa Koi, Nahi Ye Waqt Ka Takaaza Hai
Wo Zarur Aayegi, Jb Yad Karegi Mujhko
Lekn Us Waqt Mai Shayed Badal Bhi Sakta Hun
Kyunki
Use Ahsas Na Ho Ki Bewafai Ki Usne
Usko Malum Ye Ho Ki Be Wafa Mai Nikla
 

Rate it:
Views: 363
01 Mar, 2012
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets