Add Poetry

Betian

Poet: Mrs.Haleemullah By: Mrs.Haleemullah, Ghakhar

Yeh Betian Bhi Ageeb Hoti Hain
Sare Dukh Sehti Hain
Phir Bhi Walden Ki Ho K Rehti Hain
Walden Ki Chaht Pe Phoolay Na Smati Hain
Walden Ki Khatir Dunia Se Larh Jati Hain
Man Hota Hai Walden Ki Muhabt Pe
Walden Ki Chaht Pe
Aik Nazr Jo Dekh Lay Wo Piar Se
Her Gahm Bhool Jati Hain
Her Dukh Bhool Jati Hain
Her Mushkil Se Tukra Jati Hian
Gahr Main Muhabt K Rang Bikhra Deti Hain
Betion Ki Khushia,Gham,Dukh ,Sukh Seb Walden Se Wabsta Hotay Hian
Yahan Tak K:
Un Ki Zindagi Kay Faisaly Bhi
Un Ka Sans Lena Bhi
Un Ka Chlna Bhi
Un Ka Phirna Bhi
Un Ka Hnsna Bhi
Un Ka Rona Bhi
Un Ka Marna Bhi
Phir Bhi
Aik Baat Na Samjh Ai Mujhay
Yeh Waldain Kio Betion Pe Zulam Krtay Hain
Kio Apne Ghallt Faislo Ki Bhent Chrha Detay Hain
Kio Betion Ko Jla Detay Hain
Kio Gherat K Name Pe Mar Detay Hain
Kio Un Se Hansi Cheen Letay Hain
Kio Zindagi Ko Tana Bna Detay Hain
Kio Beto Ko Betion Se Bhra Darja Detay Hain
Kio Betion Ko Kamtar Smjhtay Hain
Kio Betion Ko Jheetay Ji Maar Detay Hain
Kio Yeh Betion Ko Bojh Smjhtay Hain

Ageeb Zindagi Hain In Betion Ki
Ageeb Khani Hain In Betion Ki
Kash Betion Ko Bhi Insane Smjha Jaye
Kash Un Ko Bhi Ahmiat Di Jaye
Kash Un Ko Bhi Zindagi Di Jaye
Kash Aisa Ho Jaye
Kash Aisa Ho Jaye
Betion Ko Rehmat Smjha Jaye
Betion Ko Na Zehmat Smjha Jaye

Rate it:
Views: 833
18 Feb, 2012
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets