Bin Uske Zindagi Dard Hai Tanhayi Hai

PoetShahbaz Ahmed khaskheli Submitted byShahbaz Ahmed
Text size

Bin Uske Zindagi Dard Hai Tanhayi Hai
Meri Aankhon Mein Kyon Maut Simat Aayi Hai

Kehte Hai Log Ishq Ko Ibadat Yaaron
Ibadat Mein Phir Kyon Ruswayi Hai

Wo Na Aaya To Dil Ko Lubhane Ko Mere
Shab-e-hijr Mein Uski Yaad Chali Aayi Hai

Mehfil Mein Reh Kar Bhi Tanha Rehna
Ye Ada Uski Mohabbat Ne Sikhlayi Hai

Ye Bhi Uski Mohabbat Ki Inayat Hai Yaaron
Main Tamasha Bana Aur Duniya Tamashayi Hai

Intezar Mein Kisike Na Raat Ko Barbaad Karna
Doobte Taarone Mujhe Baat Ye Samjhayi Hai

Usse Taaluq Hi Kuch Aisa Raha Hai Doston
Jab Bhi Socha Use Aankh Bhar Aayi Hai...

Related tags on Parveen Shakir poetry

More Life Poetry

Copied