Add Poetry

Chaakari Men Rah Ke Is Duniya K

Poet: Farhat Ehsas By: Farhat Ehsas, karachi

Chaakari Men Rah Ke Is Duniya Ki Mohmal Ho Gae The
Hum Tabhi To Dekhte Hi Usko Pagal Ho Gae The
Ek Lamhe Ko To Sare Masale Hal Ho Gae The
Main Makan-E-Wasl Men Pahuncha To Wo Khaali Pada Tha
Dekhte Hi Dekhte Aaankhon Se Ojhal Ho Gae The
Gard Udati Ja Rahi Thi Tez-Raftari Hamari
Mere Har Misre Pe Usne Wasl Ka Misra Lagaya
Sab Adhure Sher Shab Bhar Men Mukammal Ho Gae The
Dar-Ba-Dar Nakaam Phirti Thi Siyah-Bakhti Hamari
Aur Darwaze Bhi Bahar Se Muqaffal Ho Gae The
Ham-Safar Sab Dur Tak Aaankhon Se Ojhal Ho Gae The
Farhat-Ehsas Ek Dam Aashiq Hue The Jaane Kis Ke
Jism Se Bahar Nikal Aae The Hum Uski Sada Par
Ishq Maqnatis Par Sab Jama The Zarre Hamare
Muntashir Mitti Ke Mansube Mukammal Ho Gae The
Aur Hum Ghabra Ke Un Aaankhon Men Kajal Ho Gae The
 

Rate it:
Views: 754
01 May, 2015
More Farhat Ehsas Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets