Chand Ki Rasmi Tmazat Eid Ki Toheen Hai
Aapki Na Ho Zyarat Eid Ki Toheen Hai
Sohbat E Gesu Yakinan Phool Ko Tofiq Hai
Zulf Ki Khali Sajawat Eid Ki Toheen Hai
Door Se Mubaraken, Bila'shubha Fazul Hen
Baat Ki Jhooti Kahawat Eid Ki Toheen Hai
Lams Se Gurez Krti Surkhiyon K Darmyan
Gaal Ki Lab Se Shikayat Eid Ki Toheen Hai
Ik Nazar Se Kya Bujhe Gi Pyas Ki Jalti Shama
Ik Nazar Ki Ye Inayat Eid Ki Toheen Hai
"Aap", "Main", "Agar", "Magar", Na Kafi E Taskin Hen
Mukhtsir Si Ye Lagawatt Eid Ki Toheen Hai
Is Gharri Me Ik Musalsal Noor Me Takhfif Kyun ?
Parde Ki Rukh Pe Sadarat Eid Ki Toheen Hai
Ankh Se Nikli Hansi Ko, Lab K Neeche Rokti
Aap Ki Ab Ye Shrarat Eid Ki Toheen Hai
Hath Ki Geeli Hina Pe Yunhi Pani Daal K
Ashiqon Se Yun Adawat Eid Ki Toheen Hai
Husan E Zan K Ye Razab G ! Dastavezi Jurm Hen
Eid Par Inki Jasarat Eid Ki Toheen Hai